Dard Shayari

• Surat Hamari Dekh Li Lekin Dil Hamara Dekh Na Sake;
Khushi Hamari Dekh Li Lekin Dukh Hamare Dekh Na Sake;
Pyaar Hum Se Kar Liya Aur Fikar Hamari Kar Na Sake;
Hansi Hamari Dekh Li Magar Aansu Hamare Dekh Na Sake!
• Gham Se Marta Hun Ki Itna Nahi Duniya Mein Koi;
Ki Kare Taziyat-e-Mehr-o-Wafa Mere Baad;
Aaye Hai Bekasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib;
Kiske Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad!

Translation:
I perish with grief, the world offers no companion,
To give rituals of succour for love and fidelity, in my aftermath.
I am weeping for that soul-sick, outcast love, Ghalib,
Whose habitat will be visited by its turmoil, in my aftermath.
~ Mirza Ghalib
• Husn Ghamze Kee Kashakash Se Chuta Mere Baad;
Bade Aaram Se Hain Ahl-e-Jafa Mere Baad;
Mansab-e-Sheftagi Ke Koi Qabil Na Raha;
Hui Mazooli-e-Andaz-o-Ada Mere Baad!

Translation:
The clash between beauty and seduction is assuaged in my aftermath,
The faithless are consequently at peace in my aftermath.
No one is left worthy of the eminence of deire's insanity,
The manner and the ways of love are banished in my aftermath.
~ Mirza Ghalib
• Justuju Jis Kee Thi Usko To Na Paya Humne;

Iss Bahane Se Magar Dekh Lee Duniya Humne!Upload to Facebook
Justuju Jis Kee Thi Usko To Na Paya Humne;
Iss Bahane Se Magar Dekh Lee Duniya Humne!
~ Shahryar
• Manzar Ik Bulandi Par Aur Hum Bana Sake;
Arsh Se Idhar Hota Kaash Ki Makaan Apna;
De Woh Jis Kadar Zillat Hum Hansi Mein Taalenge;
Baare Aashna Nikla Unka Paasban Apna!

Translation:
Could we build on some pre-eminence and see what lay below,
If only we had a different home, apart from the sky.
However much he insults me, I can take it with a smile,
By chance, the beloved's guard turns out to be a friend.
~ Mirza Ghalib
• Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota;

Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota;

Har Ek Kashti Ka Apna Tazurba Hota Hai Dariya Mein;

Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota!Upload to Facebook
Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota;
Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota;
Har Ek Kashti Ka Apna Tazurba Hota Hai Dariya Mein;
Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota!
~ Nida Fazli
• Zikar Us Parivash Ka Aur Bayaan Apna;
Ban Geya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna;
Mai Woh Kyon Bahut Peete Bazm-e-Ghair Mein Ya Rab;
Aaj Hi Hua Manzoor Unko Imtihaan Apna!

Translation:
Discourse over that ravishment, compounded with my eloquence,
Made a rival out of he, who used to be my confidant.
Oh Lord! Why would they imbibe so much in a stranger's gathering,
The limits of my endurance were put to the test today.
~ Mirza Ghalib
• Zulmat Kade Mein Mere Shab-e-Gham Ka Josh Hai;
Ek Shamma Hai Daleel-e-Sahar So Khamosh Hai;
Na Muzhda-e-Visaal Na Nazara-e-Jamal;
Muddat Hui Ki Aashti-e-Chashm-o-Ghosh Hai!

Translation:
The visible darkness of my home is intensified by the night of pain,
The only proof of dawn is but a candle which has already been spent.
There is no word of an encounter, nor the joy of beholding,
For an age now, there has been peace between sight and hearing.
~ Mirza Ghalib
• Taqdeer Ne Jaise Chaha Vaise Dhal Gaye Hum;

Bahut Sambhal Ke Chale Fir Bhi Fisal Gaye Hum;

Kisi Ne Vishwas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil;

Aur Logon Ko Lagta Hai Ki Badal Gaye Hum!Upload to Facebook
Taqdeer Ne Jaise Chaha Vaise Dhal Gaye Hum;
Bahut Sambhal Ke Chale Fir Bhi Fisal Gaye Hum;
Kisi Ne Vishwas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil;
Aur Logon Ko Lagta Hai Ki Badal Gaye Hum!
• Palkon Mein Aansu Aur Dil Mein Dard Soya Hai;

Hansne Walon Ko Kya Pata Rone Wala Kis Kadar Roya Hai;

Ye To Bas Wohi Jaan Sakta Hai Meri Is Tanhayi Ka Alam;

Jisne Zindagi Mein Kisi Ko Pane Se Pehle Khoya Hai!Upload to Facebook
Palkon Mein Aansu Aur Dil Mein Dard Soya Hai;
Hansne Walon Ko Kya Pata Rone Wala Kis Kadar Roya Hai;
Ye To Bas Wohi Jaan Sakta Hai Meri Is Tanhayi Ka Alam;
Jisne Zindagi Mein Kisi Ko Pane Se Pehle Khoya Hai!
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT