Dil Tootega To Fariyad Karoge Tum Bhi; Hum Na Rahe To Humein Yaad Karoge Tum Bhi; Aaj Kehte Ho Hamare Paas Waqt Nahi; Par Ek Din Mere Liye Waqt Barbaad Karoge Tum Bhi! |
Ai Subah Main Ab Kahan Raha Hun; Khwabon Hi Mein Sarf Ho Chuka Hun; Sab Mere Bagair Mutmain Hain; Main Sab Ke Bagair Jee Raha Hun! Meaning: Sarf = Expenditure Mutmain = Quiet |
Dillagi Mein Dil Ko Hum Kaisa Rog Laga Baithe; Zindagi Ko Chorh Kyon Maut Ko Gale Laga Baithe; Humne Samjha Tha Dil Lagakar Dil Ko Chain Milega; Aisi Lagi Chot Ke Dil Ko Bedard Se Dard Laga Baithe! |
Hum Ne Mana Ki Taghaful Na Karoge Lekin; Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak; Partawe-e-Khur Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taleem; Main Bhi Hun Ek Inayat Kee Nazar Hone Tak! Translation: I agree that you will not remain indifferent but, I will be dust by the time you become aware of me, The sun's ray teaches a dewdrop how to vanish, I live because you have not bestowed the grace of your attention upon me. |
Aisa Nahi Ki Unse Mohabbat Nahi Rahi; Jazbaat Mein Wo Pehli Si Shiddat Nahi Rahi; Sar Mein Wo Intezar Ka Saudaa Nahi Raha; Dil Par Wo Dhadkano Kee Hukuumat Nahi Rahi! |
Rone Se Kabhi Kisi Ko Kuch Hasil Nahi Hota; Jo Bichhad Jaye Woh Sathi Nahi Hota; Dusro Kee To Hum Mehfil Sajate Rehte Hain; Par Hamari Tanhai Mein Kabhi Koi Shamil Nahi Hota! |
Aaj Bhi Behta Hai Uska Diya Hua Zakham; Main Chah Kar Bhi Use Sil Na Paya; Bas Kehne Ke Liye Hi Zinda Hu Main To Yaaro; Par Marzi Ke Saath Kabhi Jee Nhi Paya! |
Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Samaa Kar Chale Gaye; Khwabida Zindagi Thi Jagaa Kar Chale Gaye; Chehre Tak Aasteen Wo Lakar Chale Gaye; Kya Raaz Tha Ki Jis Ko Chipakar Chale Gaye! Meaning: Khwabida = Sleepy |
Mujhe Rula Kar Dil Uska Bhi To Roya Hoga; Chehra Aansuon Se Usne Bhi To Dhoya Hoga; Agar Na Kiya Hasil Kuch Humne Pyaar Mein; Kuchh Na Kuch To Usne Bhi Zaroor Khoya Hoga! |
Hamari Tanhai Mitane Ke Liye Kaun Aayega; In Roti Hui Aankhon Ko Chup Karane Kaun Aayega; Kisi Ko Ab Zaroorat Hi Nahi Hai Hamari Dosto; Sochte Hain Agar Mar Gaye To Dafnane Kaun Aayega! |