Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi; Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malal Bhi! |
Takoge Raah Saharon Ki Tum Miyan Kab Tak; Qadam Uthao Ki Taqdeer Intezar Mein Hai! |
Heya Nahi Hai Zamane Ki Aankh Mein Baaki; Khuda Kare Ki Jawani Teri Rahe Be-Dagh! |
Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De; Haan Apni Burai Ko Parakhne Ka Hunar De! |
Apne Apne Ghar Ja Kar Sukh Ki Neend So Jayen; Tu Nahi Khasare Mein Main Nahin Khasare Mein! |
Bahut Dinon Mein Mohabbat Ko Ye Hua Malum; Jo Tere Hijr Mein Guzri Wo Raat Raat Hun! |
Mujhe Yaad Karne Se Ye Mudda Tha; Nikal Jaaye Dam Hichkiyan Aate Aate! |
Apne Chehre Se Jo Zahir Hai Chhupayen Kaise; Teri Marzi Ke Mutabiq Nazar Aayen Kaise! |
Kya Zameen Kya Aasman Kuch Bhi Nahi; Hum Na Hon To Ye Jahan Kuch Bhi Nahi! |
Mushkil Bahut Padegi Barabar Ki Chot Hai; Aaina Dekhiyega Zara Dekh-Bhal Ke! |