Ik Umar Dil Kee Ghaat Se Tujh Par Nigaah Kee; Tujh Par Teri Nigaah Se Chhup Kar Nigaah Kee; Roohon Mein Jalti Aag Khayalon Mein Khilte Phool; Saari Sadakatein Kisi Kaafir Nigaah Kee; Jab Bhi Gham-e-Zamana Se Aankhein Hui Do-Chaar; Munh Pher Kar Tabassum-e-Dil Par Nigaah Kee; Baagen Khinchi Masafatein Kadki Faras Ruke; Maazi Kee Rath Se Kis Ne Palat Kar Nigaah Kee; Dono Ka Rabt Hai Meri Mauj-e-Khiram Se; Lagzish Khayal Kee Ho Ke Thokar Nigaah Kee! |
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun; Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun; Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun; Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun; Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee; Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun; Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar; Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun; Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main; Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun; 'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The; Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun! |
Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai; Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai; Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho; Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai; Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den; Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai; Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye; Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai; Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par; Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai! |
Saanson Kee Hararat Se Pighal Jaane Ka Mausam; Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaane Ka Mausam; Hum Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz; Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaane Ka Mausam; Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Thehar Geya Hai; Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaane Ka Mausam; Ai Shehar Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum; Aaya Hi Nahi Dil Ke Sambhal Jaane Ka Mausam; Ye Shehar-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par; Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaane Ka Mausam; Chehre Pe Agarche Hain Mere Subah Ka Ujaala; Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaane Ka Mausam! |
Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi; Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi; Jalwa-e-Husn-e-Azal The Woh Dayaar; Jin Ke Ab Naam-o-Nishaan Yaad Nahi; Koi Ujala Sa Bhalaa Sa Ghar Tha; Kis Ko Dekha Tha Wahan Yaad Nahi; Yaad Hai Zeena-e-Pechaan Us Ka; Dar-o-Deewar-e-Makaan Yaad Nahi; Yaad Hai Zamzama-e-Saaz-e-Bahaar; Shor-e-Awaaz-e-Khizaan Yaad Nahi! |
Koi Soorat Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai; Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai; Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj; Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai; Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko; To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai; Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai, Aksar; Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai! |
Aate Jaate Mujhe Ilzaam Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao; Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao; Damm Nikal Jaye Jo Uth Ker Shab-E-Tunhaai Main; Mujh Ko Wapis Dil-E-Nakaam To Dete Jao; Main Kisi Aur Ka Ehsaan Naheen Lay Sakti; Meri Qismat Mera Anjaam To Dete Jao; Phool Mehkaon -k- Daaman Main Sajaon Kante; Mere Hisse Ka Mujhe Kaam To Dete Jao! |
Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe; Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe; Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe; Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe; Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi; Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe; Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut; Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe; He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus; Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe; Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon; Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe! |
Kuchh Faisala To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye; Paani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye; Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo; Maqtal Mein Ab Ba-Tarz-e-Digar Jana Chahiye; Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Ye Hai; Jaane Se Pehle Rakht-e-Safar Jana Chahiye; Sara Jvaar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar; Ilzaam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye; Jab Bhi Gaye Azaab-e-Dar-o-Baam Tha Wahi; Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye; Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le; Aise Sukhanafarosh Ko Mar Jan Chahiye! |
Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya; Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya; Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai; Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya; Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila; Manzil-E-Ishq Mein Har Gham Pe Rona Aaya; Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagri; Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya; Jab Hua Zikar Zamaane Mein Mohabbat Ka 'Shakeel'; Mujh Ko Apne Dil-e-Naqaam Pe Rona Aaya! |