Ye Dil Bhulata Nahi Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski; Padi Hui Thee Mujhe Kitni Aadatein Uski; Yeh Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata; Mujhe To Raah Dikhaati Thee Chahatein Uski; Ghiri Hui Hun Mein Chehron Kee Bheed Mein Lekin; Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski; Main Dard Se Rone Lagi Hun To Aisa Lagta Hai; Ki Chhaon Jaisi Thee Mujh Par Rafaqatein Uski; Yeh Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye; Kahan Pe Reh Gayi Logo Sadaqatein Uski; Main Barishon Mein Juda Ho Gayi Hun Us Se Magar; Yeh Mera Dil, Meri Sansein Amanatein Uski! |
Pani Aankh Mein Bhar Kar Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai; Ab Bhi Jalta Shehar Bachaya Ja Sakta Hai; Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Nakam Mohabbat; Lekin Iss Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai; Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedien; Iss Chashme Mein Zeher Milaya Ja Sakta Hai; Mujh Gumnaam Se Puchte Hain Farhaad-o-Majnoon; Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai; Yeh Mehtab Yeh Raat Kee Peshani Ka Ghav; Aisa Zakham To Dil Par Khaya Ja Sakta Hai; Phata Purana Khwaab Hai Mera Phir Bhi 'Tabish'; Iss Mein Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai! |
Teri Doli Uthi Teri Doli Uthi, Meri Mayyat Uthi; Phool Tujh Par Bhi Barse, Phool Mujh Par Bhi Barse; Farq Sirf Itna Sa Tha, Tu Saj Gayi, Mujhe Sajaya Geya; Tu Bhi Ghar Ko Chali, Main Bhi Ghar Ko Chala; Farq Sirf Itna Sa Tha, Tu Uth Ke Gayi, Mujhe Uthaya Geya; Mehfil Wahan Bhi Thi, Log Yahan Bhi The; Farq Sirf Itna Sa Tha, Unka Hasna Wahan, Inka Rona Yahan; Qazi Udhar Bhi Tha, Maulvi Idhar Bhi Tha; Do Bol Tere Padhe, Do Bol Mere Padhe; Tera 'Nikah' Padha, Mera 'Janaaza' Padha; Farq Sirf Itna Sa Tha, Tujhe Apnaya Geya, Mujhe Dafnaya Geya! |
Ahista Chal Zindagi Ahista Chal Zindagi, Abhi Kayi Karz Chukana Baki Hai; Kuch Dard Mitana Baki Hai, Kuch Farz Nibhana Baki Hai; Raftar Mein Tere Chalne Se Kuch Rooth Gaye, Kuch Chut Gaye Roothon Ko Manana Baki Hai, Roton Ko Hasana Baki Hai; Kuch Hasratein Abhi Adhuri Hain, Kuch Kaam Bhi Aur Zaruri Hai; Khwahishein Jo Ghut Gayi Iss Dil Mein Unko Dafnana Baki Hai; Kuch Rishte Ban Kar Toot Gaye, Kuch Judte-Judte Chut Gaye; Un Toote-Chute Rishton Ke Zakhmon Ko Mitana Baki Hai; Tu Aage Chal Main Aata Hun, Kya Chhod Tujhe Jee Paunga; In Saanso Par Haq Hai Jinka, Unko Samjhana Baki Hai; Ahista Chal Zindagi Abhi Kayi Karz Chukana Baki Hai! |
Woh Chandni Ka Badan Woh Chandni Ka Badan Khushabuon Ka Saya Hai; Bahut Azeez Hume Hai Magar Paraya Hai; Utar Bhi Aao Kabhi Aasman Ke Zeene Se; Tumhein Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai; Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se; Khudaa Kisi Kee Mohabbat Pe Muskuraya Hai; Use Kisi Kee Mohabbat Ka Aitbar Nahi; Use Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai; Tamam Umar Mera Dum Uske Dhuein Se Ghuta; Woh Ik Chirag Tha Maine Use Bujhaya Hai! |
Dheere Se Sarakti Hai Raat Dheere Se Sarakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Kee Tarah; Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Kee Tarah; Baad Muddat Usko Dekha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga; Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Geya Baadal Kee Tarah; Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jagauonga; Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Geya Woh Kal Kee Tarah; Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs 'Wasi' Aur Main Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Use Kisi Pagal Kee Tarah! |
Meri Aankhon Ko Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi; Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi; Wo Bhare Sheher Mein Kisi Se Bhi; Mere Baare Mein Poochta Hee Nahi; Phir Wohi Shaam Hai Wohi Hum Hain; Haan Magar Dil Mein Haunsla Hee Nahi; Hum Chale Uss Kee Bazm Se Uth Kar; Aur Woh Hai Ki Rokta Hee Nahi; Dil Jo Ek Dost Tha Magar Woh Bhi; Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi; Main To Uss Kee Talaash Mein Gum Hun; Woh Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi! |
Mere Qatil Ko Pukaro Ki Main Mere Qatil Ko Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say; Jao So Jao Sitaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Pareshan Say Gaisu Dekhe Nahi Jate; Apni Zulfun Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Lakh Moujoun Mein Ghira Hun, Abhi Dooba To Nahi; Mujh Ko Sahil Say Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Qabar Say Aaj Bhi 'Mohsin' Kee Aati Hai Sada; Tum Kahan Ho Mera Yaroo Ki Main Zinda Hoon Abhi! |
Dil Mein Khayal-e-Nargis Dil Mein Khayal-e-Nargis-e-Janana Aa Geya; Phulon Se Khelta Hua Deewana Aa Geya; Badal Ke Uthte Hi Mai-o-Paimana Aa Geya; Bijli Ke Saath Saath Pari-Khaana Aa Geya; Maston Ne Iss Ada Se Kiya Raqs-e-Nau-Bahar; Paimana Kyaa Ki Vajd Mein Maikhana Aa Geya; Uss Chashm-e-Mai-Farosh Kee Tasir Kya Kahun; Honthon Tak Aaj Aap Hi Paimana Aa Geya; Malum Kis Ko Qais Kee Deewangi Kee Shaan; Hungama Sa Bapaa Hai Ki Deewana Aa Geya; Akhtar Gazab Thi Ahd-e-Jawani Kee Daastan; Aankhon Ke Aage Ek Pari-Khaana Aa Geya! |
Aayi Hai Kuch Na Puch Aayi Hai Kuch Na Puch Qayamat Kahan Kahan; Uff Le Gayi Hum Ko Mohabbat Kahan Kahan; Betabi-o-Sakoon Kee Hui Manzilein Tamaam; Behlaayein Tujh Se Choot Ke Tabiyat Kahan Kahan; Raah-e-Talaab Mein Chor Diya Dil Ka Sath Bhi; Phirte Liye Hue Yeh Museebat Kahan Kahan; Begaangi Pe Uss Kee Zamaane Se Aitraaz; Dar Parda Uss Kee Shikayat Kahan Kahan; Hosh-o-Junoon Bhi Bas Ab To Ek Baat Hain 'Firaq'; Hoti Hai Uss Shararat Kee Nazar Kahan Kahan! |