Hasti Ka Aitbaar Kiye Hasti Ka Aitbaar Kiye Bagair Reh Na Jaye; Duniya Hai Yahan Par Jiye Bin Raha Na Jaye; Kat'ti Nahin Yeh Zindagi Umeed Ke Bagair; Yeh Jaam Woh Hai Jis Ko Piye Bin Raha Na Jaye; Chahat Ka Zakhm Dil Ko Tamasha Na Bana De; Aisa Hai Chaak Jis Ko Siye Bin Rahaa Na Jaye; Duniya Ke Is Afshaar Mein Hai Us Ki Yaad Yoon; Aandhi Ho Tez Aur Diye Bin Raha Na Jaye; Ik Simt Tera Hukam Hai, Ik Simt Kayenaat; Yeh Bojh Apne Sir Pe Liye Bin Raha Na Jaye! |
Dil Ke Dariya Ko Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai; Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai; Us Tak Ati Hai To Har Chiz Thahar Jati Hai; Jaise Pana Hi Use Asl Main Mar Jana Hai; Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai; Dil Ko Rukana Hai K Taron Main Thahar Jana Hai; Kaun Ubharate Hue Mahatab Ka Rasta Roke; Us Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sahar Jana Hai; Main Khila Hun To Isi Khak Main Milna Hai Mujhe; Vo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai; Vo Tere Husn Ka Jadu Ho K Mera Gam-e-Dil; Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai! |
Kisi Ki Ankh Jo Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai; Na Samajho Ye Ke Us Ko Gam Nahi Hai; Savad-e-Dard Mein Tanha Khada Hun; Palat Jaun Magar Mausam Nahi Hai; Samajh Mein Kuch Nahi Ata Kisi Ki; Agarche Guftagu Mubham Nahi Hai; Sulagta Kyun Nahi Tarik Jangal; Talab Ki Lau Agar Maddham Nahi Hai; Ye Basti Hai Sitam Parvar Digan Ki; Yahan Koi Kisi Se Kam Nahi Hai; Kinara Dusara Dariya Ka Jaise; Vo Sathi Hai Magar Mahram Nahi Hai; Dilon Ki Raushani Bujhne Na Dena; Vajud-e-Tiragi Mahkam Nahi Hai; Main Tum Ko Chah Kar Pachta Raha Hun; Koi Is Zakhm Ka Marham Nahi Hai; Jo Koi Sun Sake Amjad Toh Suna Dena; Ba-Juz Ek Baz Gasht-e-Gam Nahi Hai! |
Dil-o-Nigah Pe Dil-o-Nigah Pe Taari Rahe Fasoo'n Is Ka; Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka; Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed; Ke Tera Ho Toh Gaya Hoon Magar Main Hoon Us Ka; Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri; Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka; Zameen Ki Khaak Toh Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum; Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neel'gon Us Ka; Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza; Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pur'sakoon Us Ka! |
Aalim-e-Mohabbat Aalim-e-Mohabbat Mein; Ik Kamaal Wehshat Mein; Be-Sabab Rafaaqat Ka; Dukh Uthaana Padta Hai; Titliyaan Pakadney Ko; Door Jana Padta Hai! |
Itna Dushwar Nahin Itna Dushwar Nahin Maut Ko Taley Rakhna; Sar Jo Kat Jaye To Dastar Sambhaley Rakhna; Chot Khana, Magar Is Tarah Ke Lodhey Uthey; Zulmat Gham Isi Tarah Se Ujhaley Rakhna; Apne Ehbaab Ko Seene Se Lagaye Phira; Ek Khanjar Bhi Jeb Mein Daley Rakhna; Meri Pehchan Mere Peer-e-Hin Zakhm Se Hai; Ab Bhi Aezaaz Sahi Shaal Do Shaley Rakhna; Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai Nadeem; Kuch Zaroori Toh Nahin Paaon Mein Chaley Rakhna! |
Ik Sehmi Sehmi Si Ik Sehmi Sehmi Si Aahat Hai, Ik Mehka Mehka Saya Hai; Ehsaas Ki Is Tanhai Mein Yeh Raat Gyi Kon Aya Hai; Aye Shaam Alam Kuch Tu Hi Bata, Yeh Dhang Tujhe Kyon Bhaya Hai; Woh Meri Khoj Mein Nikla Tha Aur Tujh Ko Dhoond Ke Aya Hai; Main Phool Samajh Ke Chun Loon Ga Is Bheege Se Angaaron Ko; Ankhon Ki Ibaadat Ka Main Ne Bss Ek Yahi Phal Paya Hai; Kuch Roz Se Barpa Chaar Taraf Hain Shadi-o-Gham Ke Hangamey; Sunte Hain Chaman Ko Maali Ne Phoolon Ka Kafan Pehnaya Hai! |
Udaasion Ka Samaa Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhod Gayi; Bahaar Ik Khaas Si Dilon Mein Chhod Gayi; Bichhad Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal; Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhod Gayi; Kahan Se Laa'ye Ab Os Nigaah Ko Nasir; Jo Na-Tamaam Umangein Dilon Mein Chhod Gayi! |
Ajnabi Khauf Fizaon Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise; Shehar Ka Shehar Hi Aaseb Zada Ho Jaise; Raat Ke Pichle Pehar Aati Hain Awazein Si; Dur Shehar Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise; Dar-o-Divar Pe Chhai Hai Udasi Aisi; Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise; Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar; Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise; Ab Agar Dub Gaya Bhi Toh Marunga Na Kamal; Behte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise! Translation: Aaseb Zadaa = haunted; Cheekh = Scream; Pa-e-Khatir-e-Ahabab = for the welcome of friends |
Dil Ajab Gumbad Dil Ajab Gumbad Ke Jis Mein Ik Kabutar Bhi Nahin; Itna Viran To Murdaron Ka Muqaddar Bhi Nahin; Dabati Jati Hain Mitti Mein Badan Ki Kashtiyan; Dikhne Mein Yeh Zamin Koi Samandar Bhi Nahin; Jitne Hangamein Thay Sukhi Tahaniyon Se Jhadd Gaye; Par Phal Bhi Nahin Angan Mein Patthar Bhi Nahin; Khushk Taahani Par Parinda Hai Ki Patta Hai Adeem; Ashiyana Bhi Nahin Jis Ka Koi Par Bhi Nahin; Jitni Pyari Hain Meri Dharati Jo Zanjirein Adeem; Itna Pyara Toh Kisi Dulhan Ko Zevar Bhi Nahin! |