Aaj Fir Lab Pai Un Kaa Naam Aaya; Un Kaa Nazrain Uthaanaa Kaam Aaya; Jaanta Un Ko Kaun Tha Kal Tak; Husn-E-Awal Hain Woh Inaam Aaya! |
Tum Haqeeqat Nahi Ho Hasrat Ho; Jo Mile Khawab Mein Wahi Daulat Ho; Kis Liye Dekhti Ho Aaina; Tum To Khud Se Bhi Jyada Khubsurat Ho! |
Koi Shayar Koi Faqir Ban Jaye; Apko Jo Dikhe Khud Tasveer Ban Jaye; Na Phoolon Ki Jarurat Na Kaliyo Ki; Aap Jaha Pair Rakh Do Wahi Kashmeer Ban Jaye! |
Saadgi Par Uski Marjaane Ki Hasrat Dil Mein Hai; Bas Nahin Chalta Ki Phir Khanjarkaf-E-Qaatil Mein Hai! |
Tere Pankhuriyon Jaise Hothon Ki Nami Ko Chura Loon; Teri Zulfon Ki Shaam Mein Khudd Ko Chhipa Loon; Tere Badan Ki Khushboo Mein Bass Ab Naha Loon; Aggar Phir Bhi Chain Na Aaye, Toh Phir Se Yeh Sab Duhra Loon! |
Hoti Nahi Wafa Toh Jafa Hi Kiya Karo; Tum Bhi To Koi Rasm-E-Mohabbat Adaa Karo; Hum Tumpe Mar Mite To Ye Kiska Kasoor Hai; Aaina Le Ke Haath Mein Khud Faisla Karo! |
Tu Dekh Ya Na Dekh, Tere Dekhne Ka Gham Nahi; Par Teri Ye Na Dekhne Ki Adaa Dekhne Se Kam Nahi! |
Khwaab Thaa Ya Khayaal Thaa Kyaa Thaa; Hijr Thaa Ya Vishaal Thaa Kyaa Thaa! Chamkee Bijlee Sie Par Na Samjhey Hum; Husn Thaa Ya Jamaal Thaa Kya Thaa! |
Jab Yaar Ney Utthaa Kar Zulfon Key Baal Baandhey; Tab Mainey Apney Dil Mein Laakhon Khayaal Baandhey! |
Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti; Kaash Aapse Mulakat Hamaari Na Hoti; Sapno Mein Hi Dekh Lete Hum Aapko; To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti! |