Apne Chehre Se Jo Zaahir Hai Chhupayen Kaise; Teri Marzi Ke Mutabiq Nazar Aayen Kaise! |
Is Andhere Mein Jab Koi Bhi Na Tha; Mujh Se Ghum Ho Gaya Khuda Mujh Mein! |
Umar Bhar Chal Ke Bhi Paayi Nahi Manzil Hum Ne; Kuch Samajh Mein Nahi Aata Ye Safar Kaisa Hai! |
Nagri Nagri Phira Musafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya; Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraya Bhool Gaya! |
Diye Ke Aur Hawaon Ke Marasim Khul Nahi Pate; Nahi Khulta Ki In Mein Se Ye Kis Ki Aazmaish Hai! |
Mujhi Se Aayi Thi Milne Udaas Chandni Raat; Agar Ye Janta Hota To Jagta Bhi Main! |
Sada Aish Dauran Dikhata Nahi; Gaya Waqt Phir Haath Aata Nahi! |
Hum Jis Ke Ho Gaye Wo Hamara Na Ho Saka; Yun Bhi Hua Hisaab Barabar Kabhi Kabhi! |
Jidhar Jaate Hain Sab Jaana Udhar Achha Nahin Lagta; Mujhe Pamaal Raston Ka Safar Achha Nahi Lagta! |
Dil Hai To Dhadakne Ka Bahana Koi Dhunde; Patthar Ki Tarah Be-His O Be-Jaan Sa Kyon Hai! *Be-His - Insensitive *Be-Jaan - lifeless |