Kise Batayein Ki Zad-e-Safar Gaya Kab Ka; Raha Hi Kya Hai Gham-e-Motabar Gaya Kab Ka! |
Dhund Mein Doobi Saari Faza Thi Us Ke Baal Bhi Geele The; Jis Ki Ankhen Jheelon Jaisi Jis Ke Honth Raseele The! |
Woh Samjhte Hain Ki Har Shakhs Badal Jata Hai; Unhein Lagta Hai Ki Zamana Unke Jaisa Hai! |
Ab Ke Khud Se Bhi Ulfat Nahi Mujh Ko, Tere Siwa Kisi Aur Ki Adat Nahi Mujh Ko; Rata Rafta Ye Hunar Bhi Seekh Jaunga, Abhi Rutho'n Ko Manane Ki Adat Nahi Mujhko! |
Toote But Masjid Bani Mismar But-Khana Hua; Jab To Ik Surat Bhi Thi Ab Saaf Veerana Hua! |
Unhen Apne Dil Ki Khabren Mere Dil Se Mil Rahi Hain; Main Jo Un Se Rooth Jaun To Payam Tak Na Pahunche! |
Maine Puchha Ki Hai Kya Shaghl To Hans Kar Bole; Aaj Kal Hum Tere Marne Ki Dua Karte Hain! * Shaghl - Hobby |
Do Char Nahi Mujh Ko Bas Ek Dikha Do; Wo Shakhs Jo Bahar Se Bhi Andar Ki Tarah Ho! |
Mud Ke Dekha To Humein Chhod Ke Jaati Thi Hayat; Hum Ne Jaana Tha Koi Bojh Gira Hai Sar Se! |
Ai Shama Tujh Pe Raat Ye Bhari Hai Jis Tarah; Main Ne Tamaam Umar Guzari Hai Is Tarah! |