Uske Intezar Ke Maare Hain Hum; Bas Uski Yaadon Ke Sahare Hain Hum; Duniya Jeet Kar Kya Karna Hai Ab; Jise Duniya Se Jeeta Tha, Aaj Usi Se Haare Hain Hum! |
Thak Thak Ke Band Hote Hain Chasme Intezar; Aata Hai Sab Ko Khyal Tumhare Khyal Se! |
Main Intezar Ka Qaayal Na Tha Magar Tum Ne; Lagaa Diya Mujhe Deewaar Se Gharri Ki Tarah! |
Qaasid Ke Aatae Aatae Khat Ik Aur Likh Rakhoon; Main Janta Hun Jo Woh Likhen Ge Jawaab Mein! |
Wafaa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtiyaar Karna Hai; Woh Sach Kahe Na Kahe Aitbaar Karna Hai; Yeh Tujh Ko Jaagte Rehne Ka Shauq Kab Se Hua; Mujhe To Khair Tera Intezaar Karna Hai! |
Un Ke Khat Ki Arzoo Hai, Un Ki Aamad Ka Khayal; Kiss Qadar Phaila Hai Karobaar-e-Intezaar! |
Palkon Pe Ruk Gaya Hai Samundar Khumaar Ka; Kitnaa Ajab Nashaa Hai Tere Intezaar Ka! |
Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye; Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye; Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka; Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye! |
Ye Na Thi Hamari Kismat Ke Visaal-e-Yaar Hota; Agar Aur Jeetey Rehtey, Yehi Intezaar Hota! |
Na Ishq Ka Izhaar Kiya, Na Thukra Sakke Humein Woh; Hum Tamam Zindgi Mazloom Rahe, Unke Wada Mohabaat Ke! |