Kaash Tu Bhi Ban Jaye Teri Yaadon Kee Tarah, Na Waqt Dekhe Na Bahana, Bas Chali Aaye! |
Aabsharon Ki Yaad Aati Hai, Phir Kinaron Ki Yaad Aati Hai! Aabshar: Waterfall |
Tu Yaad Aaya Tere Jaur-o-Sitam Lekin Na Yaad Aaye; Mohabbat Mein Yeh Masoomi Badi Mushkil Se Aati Hai! |
Woh Sham Woh Rukhsar Ka Saman Yaad Rahe Ga, Woh Shehar Woh Koocha Woh Makaan Yaad Rahe Ga, Woh Tain Ke Ubrhi Thi Idhar Yaad Rahe Gi, Woh Dard Ka Utha Tha Yahan Yaad Rahe Ga! |
Dil Ko Dil Se Reh Hai Tu, Jis Tarah Se Hum, Tujhe Yaad Karte Hain, Kare Yun Hi Humein Bhi Yaad Tu! |
Is Shehar Mein Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhol Gaye; Ik Shakhs Kitabon Jaisa Tha Woh Shakhs Zubani Yaad Hua! |
Na Koi Gham Khazan Ka Hai Na Hai Khwahish Baharon Ki; Humare Saath Hai Amjad Kisi Ki Yaad Ka Mausam! |
Saya Bhi Tera Tujh Ko Kahin Chodd Jaye Ga; Aaye Bhi Tere Kaam Toh Tanhai Aayegi! |
Chup Hain Woh Kis Wajah Se Humein Maloom Nahi Magar; Dil Doob Sa Jaata Hai Jab Woh Yaad Nahi Karte! |
Bas Itna Sa Asar Hoga Meri Yaadon Ka; Kabhi Kabhi Tum Bina Baat Muskuraogi! |