Saari Duniya Mein Hai Kis Tarah Ka Manzar Yaara; Apne Hi Ghar Mein Hai Har Aadmi Dar Kar Yaara! |
Jo Dil Ko Hai Khabar Kahin Milti Nahi Khabar; Har Subah Ek Azab Hai Akhbar Dekhna! |
Hum Ko Na Mil Saka To Faqat Ek Sukun-e-Dil; Ai Zindagi Vagarna Zamane Mein Kya Na Tha! |
Zara Si Chaaye Giri Aur Daagh Daagh Varaq; Ye Zindagi Hai Ki Akhbar Ka Tarasha Hai! * Varaq: Paper * Tarasha: Chiselled (Cut, Shaped) |
Manzilen Hi Manzilen Hain Har Taraf; Raaste Ki Ek Nishani Bhi Nahi! |
Ghar Se Nikla To Mulaqat Hui Paani Se; Kahan Milti Hai Khushi Itni Faravani Se! *Faravani: Abundance, Plenty |
Is Liye Dil Bura Kiya Hi Nahi; Zindagi Mera Faisla Hi Nahi! |
Nikal Kar Khud Se Bahar Bhagne Se Khud Mein Aane Tak; Farar Aakhir Hai Ye Kaisa Ye Kaisi Aazmaish Hai! |
Ye Mana Zindagi Hai Chaar Din Ki; Bahut Hote Hain Yaaro Chaar Din Bhi! |
Zindagi Shayad Isi Ka Naam Hai; Dooriyan Mazbooriyan Tanhaiyan! |