Haathon Ki Lakeeron Pe Mat Ja Ai Ghalib; Naseeb Unke Bhi Hote Hain Jinke Haath Nahi Hote! |
Samandar Na Sahi Ek Nadi Toh Honi Chahiye; Tere Shehar Mein Zindagi Kahin Toh Honi Chahiye! |
Hasil-e-Zindgi Hasraton Ke Siwa Kuch Bhi Nahi; Yeh Kiya Nahi, Woh Hua Nahi, Yeh Mila Nahi, Woh Raha Nahi! |
Kis Kaam Ki Rahi Yeh Dikhave Ki Zindagi; Vaade Kiye Kisi Se, Guzaare Kisi Ke Saath! |
Jo Padha Hai Use Jeena Hi Nahin Hai Mumkin; Zindagi Ko Main Kitabon Se Alag Rakhta Hoon! |
Kabhi Main Apne Haathon Ki Lakeeron Se Nahin Uljha; Mujhe Maloom Hai Qismat Ka Likha Bhi Badalta Hai! |
Safar Zindagi Ka Kaise Katega Aakhir; Dilon Se Nafrat Ke Parde Hatao Yaaro! |
Jiske Paas Sirf Sikke The Woh Maze Se Bheegte Rahe Barish Mein; Jiske Jeb Mein Note The Woh Chhatt Talashte Reh Gaye! |
Aaram Se Zindagi Jeena Chahate Ho To; Apne Dil Se Lalach Nikaal Do! |
Na Khushi Khareed Pata Hun, Na Gham Bech Pata Hun; Phir Bhi Na Jaane Kyon Main; Har Roz Kamane Jaata Hun! |