sms

Aaj Kisi Ki Dua Ki Kami Hai;
Tabhi To Humari Aankhon Mein Nami Hai;
Koi To Hai Jo Bhol Gaya Hai Humain;
Par Hamare Dil Mein Unki Jagah Ab Bhi Wahin Hai!

sms

Peete Hain Sharab Hum Jinhe Bhulane Ke Liye;
Woh Hi Aa Jaate Hain Yaad Humein Rulane Ke Liye!

sms

Tere Ik Ishare Pe Sakit Khade Hain;
Nahi Keh Ke Sab Se Guzar Jaane Wale!
~ Jigar Moradabadi

sms

Chod To Diya Mujhe Par Yeh Socha Hai Kabhi Tumne;
Ab Jab Bhi Jhooth Bologi Toh Kasam Kiski Khaogi!

sms

Us Ke Daaman Mein Bhee Zakhmon Ke Siwa Kuch Na Mila;
Humne Jis Shaqs Ko Samjha Tha Maseeha Sabka!

Zakhm: Wound
Daaman: Lower Portion Of A Shirt Or A Coat
Maseeha: Saviour

sms

Dil Se Teri Yaad Na Jaaye To Kya Karoon;
Tasveer Mein Tu Hi Tu Nazar Aaye To Kya Karoon;
Lene Ko To Le Aayein Tumhein Khwaboon Mein;
Par Neend Hi Na Aaye Toh Kya Karoon!

sms

Khushi Takdiron Mein Honi Chahiye;
Tasviron Mein Toh Har Koi Khush Nazar Aata Hai!

Aadmi Aadmi Se:

Aadmi Aadmi Se Milta Hai,
Dil Magar Kam Kisi Se Milta Hai;

Rooh Ko Bhi Maza Mohabbat Ka,
Dil Ki Hum-Saegi Se Milta Hai;

Aaj Kya Baat Hai Ki Phulon Ka,
Bhool Jata Hun Main Sitam Uske;

Hosh Jab Be-Khudi Se Milta Hai,
Karobar-e-Jahan Sanwarte Hain;

Mil Ke Bhi Jo Kabhi Nahi Milta,
Rang Teri Hansi Se Milta Hai;

Teri Khush-Qamati Se Milta Hai,
Toot Kar Dil Usi Se Milta Hai;

Silsila Fitna-e-Qayamat Ka,
Woh Kuchh Is Sadgi Se Milta Hai!

sms

Lafz Bhee Jis Ahd Mein Kho Baithe Apna Aitbaar;
Khamoshi Ko Is Mein Kitna Motabar Maine Kiya!

Lafz: Words
Ahd: Time, Period
Aitbaar: Trust
Khamoshi: Silence
Motabar: Reliable, Trustworthy

sms

Dil Ke Dard Ko Dil Todne Wala Kya Jane;
Pyaar Ki Rasmon Ko Yeh Zamane Wale Kya Jane;
Hoti Hai Kitni Takleef Qabar Ke Neeche;
Yeh Upar Se Phool Charane Wale Kya Jane!

End of content

No more pages to load

Next page