
Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuch Itna Kho Chuka Hun Main;
Ki Tu Mil Bhi Agar Jaaye To Ab Milne Ka Gham Hoga!

Na Jane Iss Zidd Ka Nateeja Kya Hoga;
Samajhta Dil Bhi Nahi, Wo Bhi Nahi, Main Bhi Nahi!

Nazar Mein Shokhiyan Lab Par Mohabbat Ka Fasaana Hai;
Meri Ummeed Ki Zad Mein Abhi Saara Zamaana Hai;
Kayi Jeete Hain Dil Ke Desh Par Maloom Hai Mujhko;
Sikandar Hoon Mujhe Ik Roz Khaali Haath Jaana Hai!

Dil Mein Sama Gayi Hain Qayamat Kee Shokhiyan;
Do Chaar Din Raha Tha Kisi Kee Nigah Mein!

Zindagi Mein Kisi Ka Saath Kaafi Hai;
Haathon Mein Kisi Ka Haath Kafi Hai;
Door Ho Ya Paas Fark Nahi Padta;
Pyaar Ka To Bas Ehsaas Hi Kaafi Hai!

Toofano Mein Kashti Ko Kinaare Bhi Milte Hain;
Jahan Mein Logo Ko Sahaare Bhi Milte Hain;
Duniya Mein Sabse Pyaari Hai Zindagi;
Kuch Log Zindagi Se Bhi Pyaare Milte Hain!

Tujhko Dekha Toh Phir Us Ko Na Dekha Humne;
Chaand Kehta Hi Raha Main Chaand Hun Main Chaand Hun!

Maangi Thi Dua Humne Rab Se;
Dena Mujhe Dost Jo Alag Ho Sabse;
Usne Mila Diya Humein Aapse Aur Kaha;
Sambhalo Inhe Yeh Anmol Hain Sab Se!

Zindagi Mein Kisi Ka Saath Kaafi Hai;
Haathon Mein Kisi Ka Haath Kafi Hai;
Door Ho Ya Paas Fark Nahi Padta;
Pyaar Ka To Bas Ehsaas Hi Kaafi Hai!

Waqt Mile To Humein Yaad Kar Lena;
Pal Pal Na Sahi Par Din Mein Ek Baar Kar Lena;
Dost Honge Aapke Hazaaron Par;
Hamara Sirf Ek Hai Bas Itna Khayal Kar Lena!