Ilaj-e-Dard-e-Dil Tum Se Masiha Ho Nahi Sakta;
Tum Achcha Kar Nahi Sakte Main Achchha Ho Nahi Sakta!
Tera Afsana Ched Kar Koi,
Aaj Jagega Raat-Bhar Koi;
Aise Wo Dil Ko Tod Deta Hai,
Dil Na Ho Jaise Ho Samar Koi!
Main Tha Wafa-Sarisht Mujhe Thi Wafa Aziz, Wo Tha Bahana-Ju Use Khu-e-Baha Na Thi;
Yun Koi Mere Paas Se Ho Kar Guzar Gaya,
Jaise Kabhi Nazar Se Nazar Ashna Na Thi!
* Wafa-Sarisht: Disposition of constancy
* Bahana-Ju: one who seeks an excusedi
Khamoshi Se Musibat Aur Bhi Sangeen Hoti Hai;
Tadap Ai Dil Tadapne Se Zara Taskeen Hoti Hai!
*Taskeen: Satisfaction, Comfort
Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Hum Hain;
Rukh Hawaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Hum Hain!
Yun Meri Ummeedon Ke Mahal Ho Gaye Mismar,
Jis Tarah Koi Ret Ki Deewar Na Thahre;
Pahuncha Naye Halat Ke Dhare Pe Safina,
Mumkin Hai Mere Haath Mein Patvar Na Thahre!
*Mismar: Ruined
*Safina: Boat
Zindagi Ke Udaas Lamhon Mein; Bewafa Dost Yaad Aate Hain!
Kachhe Makaan Jitne The Barish Mein Beh Gaye;
Varna Jo Mera Dukh Tha Vo Dukh Umar Bhar Ka Tha!
Doston Ko Bhi Mile Dard Ki Daulat Ya Rab;
Mera Apna Hi Bhala Ho Mujhe Manzoor Nahi!
Meri Rooh Ki Haqeeqat Mere Aansuon Se Pucho,
Mera Majlisi Tabassum Mera Tarjuman Nahi Hai;
Main Kis Ke Haath Pe Apna Lahu Talaash Karun,
Tamaam Shehar Ne Pehne Hue Hain Dastane!