Zidd Har Ik Baat Par Nahi Achchhi;
Dost Ki Dost Maan Lete Hain!
Dushmanon Se Pyaar Hota Jayega;
Doston Ko Aazmate Jaiye!
Sab Ne Kaha Dosti Ek Dard Hai,
Hum Ne Kaha Qubool Hai;
Sab Ne Kaha Is Dard Ke Saath Jee Nahi Paoge,
Hum Ne Kaha Teri Dosti Ke Saath Marna Bhi Qubool Hai!
Dushmanon Ki Jafa Ka Khauf Nahi;
Doston Ki Wafa Se Darte Hain!
Guzre Jo Apne Yaaron Ki Sohbat Mein Chaar Din;
Aisa Laga Basar Hue Jannat Mein Chaar Din!
*Sohbat: Association, Company
Woh Koi Dost Tha Achche Dinon Ka;
Jo Pichhli Raat Se Yaad Aa Raha Hai!
Jab Tak Jiye Nibhayenge Hum Un Se Dosti;
Apne Rahe Jo Dost Museebat Mein Chaar Din!
Guzre Jo Apne Yaaron Ki Sohbat Mein Chaar Din;
Aisa Laga Basar Hue Jannat Mein Chaar Din!
Ho Gaye Nakaam To Pachhtayein Kya;
Doston Ke Samne Sharmayein Kya!
Wo Chai Ki Pyali Pe Yaaron Ke Jalse;
Wo Sardi Ki Raatein Wo Zulfon Ke Qisse!