Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi;
Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi!
Yahan Libas Ki Keemat Hai Aadmi Ki Nahi;
Mujhe Gilas Bade De Sharab Kam Kar De!
Aaj Pi Lene De Saaqi Mujhe Jee Lene De;
Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi!
Kisi Gul Ki Qaba Milti Nahi Tehriq Se Khali, Junoon Ne Le Ke Banti Hain Ye Kitni Dhajjiyan Mujh Se; Pila Saaqi Ki Reh Jaye Khumar-e-Kaif Ka Parda, Bas Ab Rukti Nahi Aati Hui Angdaiyan Mujh Se! *Khumar-e-Kaif: Exhilaration *Qaba: apparel, garment
Log Kehte Hain Raat Beet Chuki,
Mujh Ko Samjhao Main Sharabi Hun;
Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi,
Mere Naghmat Ko Andaaz-e-Nava Yaad Nahin!
*Harf-e-Dua: Words of prayers
*Andaaz-e-Nava: Style of voice
Zahid Sharab Peene Se Kaafir Hua Main Kyon;
Kya Dedh Chullu Paani Mein Imaan Beh Geya!
Halat-e-Haal Ke Sabab Halat-e-Haal Hi Gayi, Shauq Mein Kuch Nahi Gaya Shauq Ki Zindagi Gayi ; Tera Firaq Jaan-e-Jaan Aish Tha Kya Mere Liye, Yaani Tere Firaq Mein Khoob Sharab Pi Gayi
Wo Koi Jaam Pila Den To Na Jaane Kya Ho;
Jin Ke Dekhe Hi Se Aankhon Mein Khumar Aa Jaaye!
Tera Bada Hi Shukriya Pilaye Ja Pilaye Ja; Na Zikr Kar Hisab Ka Sharab La Sharab La!
Dariya Mein Hai Sharab Ajab Ibtila Mein Hun; Main Bhi Husain Hi Ki Tarah Karbala Mein Hun!