Le De Ke Apne Paas Faqat Ek Nazar To Hai, Kyon Dekhe Zindagi Ko Kisi Kee Nazar Se Hum! |
Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai; Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai; Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho; Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai; Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den; Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai; Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye; Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai; Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par; Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai! |
Lo Aaj Humne Tod diya Rishta-e-Umeed; Lo Ab Kabhi Gila Na Karenge Kisi Se Hum! |
Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai; Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai; Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho; Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai; Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den; Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai; Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye; Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai; Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par; Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai! |
Chand Kaliyan Nishat Ki Chun Kar, Muddaton Mahv-e-Yaas Rehta Hun; Tujh Se Milna Khushi Ki Baat Sahi, Tujh Se Mil Kar Udaas Rehta Hun! Translation: Mahv-e-Yaas = Lost in grief |
Tum Mere Liye Ab Koi Ilzam Na Dhoondo; Chaha Tha Tumhein Ek Yahi Ilzam Bahut Hai! |
Abhi Zinda Hun Lekin Sochta Rehta Hun Khalwat Mein; Ki Ab Tak Kis Tamanna Ke Sahaare Jee Liya Maine! Meaning: Khalwat = Privacy |
Tumhari Mast Nazar Tumhari Mast Nazar Agar Idhar Nahi Hoti; Nashe Mein Choor Fiza Is Kadar Nahi Hoti; Tumhin Ko Dekhane Ke Dil Mein Aarazuein Hain; Tamhare Aage Hi Aur Unchi Nazar Nahi Hoti; Khafa Na Hona Agar Bad Ke Tham Lu Daman; Ye Dil Fareb Khata Jan Kar Nahi Hoti; Tumhare Aane Talak Hum Ko Hosh Rehta Hai; Phir Uske Bad Hamein Kuch Khabar Nahi Hoti! |
Chand Kaliyan Noshaat Ki Chun Kar; Muddaton Mahv-e-Yaas Rehta Hoon; Tujhse Milna Khushi Ki Baat Sahi; Tujhse Mil Kar Udaas Rehta Hoon! |
Gham Is Kadar Barhey Ke Mein Ghabra Ke Pee Gaya; Is Dil Ki Be-Basi Pe Tarss Kha Ke Pee Gaya; Thukra Raha Tha Mujh Ko Bari Der Se Jahan; Main Aaj Sab Jahan Ko Thukraa Ke Pee Gaya! |