Ek Ajeeb Dastan Hai, Mere Afsane Kee; Maine Pal Pal Kee Koshish, Uske Pass Jaane Kee; Naseeb The Mere Ya, Sazish Zamane Kee; Door Hui Mujhse Utni, Jitni Umeed Thi Kareeb Aane Kee! |
Manzilon Se Begana Aaj Bhi Safar Mera; Raat Besahar Mere Dard Beasar Mera! |
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale; Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale; Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Ki Yun; Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale! |
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain; Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain; Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu; Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain! |
Zikr Uska Hi Sahi Bazm Mein Baitho To Faraz; Dard Kaisa Hi Uthe Haath Na Dil Pe Rakhna! |
Dil Na-Umeed To Nahi, Nakaam Hi To Hai; Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai! |
Dil Ke Rishton Ki Nazakat Woh Kya Jaane; Naram Lafzon Se Bhi Lag Jati Hai Chotein Aksar! |
Jiska Tum Puchte Ho Wo Mar Geya Shakhs; Usko Kisi Ki Yaad Ne Zinda Jala Diya! |
Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain; Main Shaad Hi sahi, Hoon To Kisi Ki Nigaah Mein! Shaad = Delighted/Cheerful |
Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi; Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi! |