Kasoor Unka Nahi Jo Dhokha Diya Unhone; Aadat To Humein Hi Hai Dhokhe Khane Ki; Tutega Dil Ek Din Jaante The Hum; Fir Bhi Bhool Ki Unko Chahne Ki! |
Chuppi Hai Kahin Hamdardi Mere Ghamon Ke Saath; Mil Gayi Hai Kisi Kee Kahani Meri Daastaan Ke Saath! |
Gar Zindagi Mein Mil Gaye Phir Ittefaq Se; Poochenge Apna Haal Teri Bebasi Se Hum! |
Dil Ki Khwahish Ko Naam Kya Doon; Pyaar Ka Usse Paigam Kya Doon; Is Dil Mein Dard Nahi Yaadein Hai Uski; Ab Yaadein Hi Mujhe Dard De Toh Usse Ilzam Kya Doon! |
Saza Humein Yeh Kaisi Mili Dil Lagane Ki; Ro Rahe Magar Tamanna Thi Muskurane Ki; Apna Dard Kise Dikhau Aye Dost; Dard Bhi Ussne Diya Jo Wajah Thi Muskurane Ki! |
Rah Pe Nikle The Yeh Soch Kar Kisi Ko Bana Lenge Apna; Magar Iss Khawish Ne Zindagi Bhar Ka Musafir Bana Diya! |
Hum To Tere Dil Ki Mehfil Sajane Aaye The; Teri Kasam Tujhe Apna Banane Aaye The; Kis Baat Ki Saza Di Tumne Humko; Bewafa Hum To Tere Dard Ko Apnane Aaye The! |
Maine Kabhi Ek Chand Ko Pana Chaha Tha; Us Door Akash Ke Ek Sitare Ko Gale Lagana Chaha Tha; In Namumkin Si Cheezon Ko Main Mumkin Banane Chala Tha; Jane Kyon Us Din Main Kisi Se Dil Lagane Ko Chala Tha! |
Socha Tha Ki Woh Bahut Toot Kar Chahege Humein; Lekin Socha Bhi, Hum Ne Chaha Bhi Hum Ne, Aur Toot Bhi Hum Gaye! |
Tannha Rehna To Seekh Liya Humne; Par Khush Na Kabhi Reh Payenge; Teri Doori To Phir Bhi Seh Leta Hai Ye Dil; Par Teri Mohabbat Ke Bin Na Jee Payenge! |