Humne To Bas Itna Hi Seekha Hai Dosto; Raah-e-Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta; Jo Mil Jaye Iss Raah Par Kabhi Yaar Se; Woh Zakham Kabhi Fir Dobara Nahi Silta! |
Jeete Jee Hum To Gham-e-Farda Kee Dhun Mein Mar Gaye; Kuch Wahi Achhhe Hain Jo Waqif Nahin Anjam Se! Meaning: Gham-e-Farda = Tomorrow's Sorrow |
Umeedon Ke Daaman Mein Zinda Hain Hum; Warna Jeene Kee Chahat Kahan; Tumse Milne Kee Aarzoo Liye Firte Hain Dar-b-Dar; Warna Is Laash Ke Naseeb Mein Kabar Kahan! |
Woh Mehndi Wale Haath Mujhe Dikha Kar Royi; Ab Main Hun Kisi Aur Kee Yeh Mujhe Bata Kar Royi; Pehle Kehti Thi Ki Nahi Jee Sakti Tere Bin; Aaj Phir Se Woh Baat Dohra Kar Royi; Kaise Karun Uski Mohabbat Pe Shak Yaaro; Woh Bhari Mehfil Mein Mujhe Gale Laga Kar Royi! |
Main Bikhar Jaunga Zanjeer Kee Kadiyon Kee Tarah; Aur Reh Jayegi Iss Dasht Mein Jhankar Meri! |
Chaman Mein Rehne Walon Se To Hum Sahra-Nashin Achhhe; Bahaar Aa Ke Chali Jati Hai Veerani Nahi Jaati! Meaning: Sahra-Nashin = Inhabitant of Desert |
Chirag-e-Wafaa Apne Haath Mein Liye; Ghumte Rahe Jinke Liye Hum Raat Bhar; Aaj Wo Hi Judaa Humse Ho Gaye Hain; Chal Diye Wo Hi Humse Apna Munh Mod Kar! |
Gum Mein Bhi Muskurana Chahta Hu Main; Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hu Main; Magar Na Jane Kyon Nikal Aate Hain Aansu; Jab Bhi Tumhein Bhulana Chahta Hu Main! |
Jinhe Bhulaney Mein Yaaro, Itne Zamane Lage; Jab Dil Dukha To Woh Hi Log Yaad Aane Lage! |
So Zindagi Nisaar Karun Aisi Maut Par; Yun Roye Zaar Zaar Tu Ahl-e-Azaa Ke Saath! Meaning: Ahl-e-Azaa = Mourners |