Kabhi Kabhi Hume Bhi Yun Hi Yaad Kar Liya Karo; Hamari Tasveer Bhi Dekh Kar Use Chum Liya Karo; Maana Ki Tumhein Kami Nahi Hai Kisi Cheez Kee; Fir Bhi Kabhi Hume Apni Dua Mein Maang Liya Karo! |
Kaash Tum Mujhe Ek Khat Likh Dete; Mujhme Kya-Kya Thi Kami Yeh To Bata Dete; Tadapte Dil Se Mere Tumne Nafrat Kyon Kee; Nafrat Kee Hi Mujhe Koi Wajah To Bata Dete! |
Tumhari Pasand Hamari Chahat Ban Jaye; Tumhari Muskurahat Dil Kee Rahat Ban Jaye; Khudaa Khushiyon Se Itna Khush Kar De Aapko; Ki Aapko Khush Dekhna Hamari Aadat Ban Jaye! |
Le Kar Aana Usse Mere Janaaze Mein; Ek Aakhri Haseen Mulaqat Toh Hogi; Mere Jism Mein Beshak Jaan Na Ho Magar; Meri Jaan Mere Jism Ke Pass To Hogi! |
Tere Har Gum Ko Apni Rooh Mein Utaar Lun; Zindagi Apni Teri Chahat Mein Sawaar Lun; Mulaqat Ho Tujhse Kuch Is Tarah Meri; Sari Umar Bas Ek Mulaqat Mein Guzaar Lun! |
Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Kee; Barri Arzoo Thi Hum Ko Mulaaqat Kee! |
Ikk Zara Haath Badha Dein To Pakad Lein Daaman; Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan; Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyun Hai! |
दिल ने आज फिर तेरे दीदार की ख्वाहिश रखी है; अगर फुरसत मिले तो ख्वाबों मे आ जाना। |
Koshish Ke Baad Bhi Jo Poori Na Ho Saki; Tera Naam Bhi Unn Khawishon Mein Hai! |
Ae Kaash, Kahin Qudrat Ka Yeh Nizaam Hua Kare; Tujhe Dekhne Ke Siwa Na Mujhe Koi Kaam Hua Kare! |