Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun; Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun; Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun; Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun; Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee; Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun; Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar; Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun; Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main; Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun; 'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The; Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun!! |
Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai; Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai; Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho; Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai; Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den; Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai; Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye; Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai; Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par; Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai! |
Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein; Phir Us Ke Baad Musalsal Azab Aankhon Mein; Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshan Tha Wujud; Khatak Raha Hai Wahi Aftab Aankhon Mein; Jinhe Mata-e-Dil-o-Jan Samajh Rahe The Hum; Wo Aaine Bhi Hue Behijab Aankhon Mein; Ajab Tarah Ka Hai Mausam Ki Khak Udti Hai; Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein; Meri Ghazal Teri Vahshaton Kee Khair Kee Hai; Bahut Dino Se Bahut Iztarab Aankhon Mein; Na Jane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai; Ye Uljhane Teri Be-Intasab Aankhon Mein! |
Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai; Main Chalta Hun Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai; Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai; Humein To Jis Ne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai; Mohabbat Mein Jo Doobaa Ho Use Sahil Se Kya Lena; Kise Is Bahaar Mein Ja Kar Kinara Yaad Rehta Hai; Bahut Leharon Ko Pakda Doobane Wale Ke Haathon Ne; Yahi Bas Ek Dariya Ka Nazara Yaad Rehta Hai; Sadayein Ek Si Yaksaniyat Mein Doob Jati Hain; Zara Sa Mukhtalif Jis Ne Pukara Yaad Rehta Hai; Main Kis Tezi Se Zinda Hun Main Ye To Bhool Jata Hun; Nahi Aanaa Hai Duniya Mein Dobaraa Yaad Rehta Hai! |
Band Aankh Se Sapne Band Aankh Se Sapne Bunte Bunte Umar Guzar Gayi Apni; Tootey Dil Ke Raizey Chunte Chunte Umar Guzar Gayi Apni; Woh Hum Se Bichar Kar Kaise Jeeta Hoga; Bass Yehi Sochte Sochte Umar Guzar Gayi Apni; Us Ki Talaash Mein Nikle, Apna Pata Bhool Gaye; Phir Khud Ko Khojte Khojte Umar Guzar Gayi Apni; Shamaa Ban To Gaye Roshni Ki Khatir; Magar Phir Jalte Jalte Umar Guzar Gayi Apni; Uss Ne Manaa Ki Deewaar Torr Kar Pukaara To Sahi; Lekin Rukte Rukte Umar Guzar Gayi Apni; Ab Yeh Zindagi Ussi Ki Amaanat Hai Waqas; Jiss Ki Raah Takte Takte Umar Guzar Gayi Apni! |
Kis Ne Mujhko Sada Dee Bata Kaun Hai; Ai Hawa Tere Ghar Mein Chhupa Kaun Hai; Baarishon Mein Kisi Ped Ko Dekhna; Shaal Odhe Hue Bheegta Kaun Hai; Main Yahan Dhoop Mein Tap Raha Hun Magar; Wo Paseene Mein Doobaa Hua Kaun Hai; Aasmano Ko Humne Bataya Nahi; Doobti Shaam Mein Doobta Kaun Hai; Khushbun Mein Nahayi Hui Shaakh Par; Phool-Sa Muskurata Hua Kaun Hai; Dil Ko Patthar Hue Ik Zamana Hua; Is Makaan Mein Magar Bolta Kaun Hai; Tum Bhi Mazboor Ho Hum Bhi Mazboor Hain; Bewafa Kaun Hai Bawafa Kaun Hai! |
Jee Uthe Hashar Mein Jee Uthe Hashar Mein Phir Jee Se Guzarne Wale; Yaan Bhi Paida Hue Phir Aap Pe Marne Wale; Hai Udasi Shab-e-Matam Kee Suhani Kaisi; Chaanv Mein Taaron Kee Nikale Hain Sanwarne Wale; Hum To Samjhe The Ki Dushman Pe Uthaya Khanjar; Tumne Jana Ki Humin Tum Pe Hain Marne Wale; Sabr Kee Mere, Mujhe Daad Zara De Dena; O Mere Hashar Ke Din Faisala Karne Wale; Kya Maza Deti Hai Bijli Kee Chamak Mujhko 'Riyaz'; Mujhse Lipatate Hain, Mere Naam Se Darne Wale! |
Guzre Hue Taveel Guzre Hue Taveel Zamane Ke Baad Bhi; Dil Mein Raha Woh Chhod Ke Jaane Ke Baad Bhi; Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb; Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi; Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash; Dil Mutmain Nahin Hai Tere Aane Ke Baad Bhi; Jo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai; Tera Hi Zikar Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi; Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Faraz; Dil Ka Tamaam Haal Sunane Ke Baad Bhi! |
Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar; Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar; Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz; Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar; Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door; Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar; Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe; Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar; Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh; Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar; Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar; Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar; Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa; Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar! |
Kat Gayi Jhagde Mein Sari Raat Vasl-e-Yaar Kee; Shaam Ko Bosa Liya Tha, Subah Tak Taqarar Kee; Zindagi Mumkin Nahi Ab Aashiq-e-Beemar Kee; Chhid Gayi Hain Barchiyan Dil Mein Nigah-e-Yaar Kee; Hum Jo Kehte The Na Jana Bazm Mein Agayaar Kee; Dekh Lo Neechi Nigahein Ho Gayi Sarkaar Kee; Zehar Deta Hai To De, Zaalim Magar Taskeen Ko; Is Mein Kuch To Chashni Ho Sharab-e-Deedaar Kee; Baad Marne Ke Mili Jannat Khudaa Ka Shukr Hai; Mujhko Dafnaya Rafeeqon Ne Gali Mein Yaar Kee; Haal-e-'Akbar' Dekh Kar Bole Buri Hai Dosti; Aise Rusvayi, Aise Rind, Aise Khudayi Khwaar Kee! |