Zindagi Is Tarah Zindagi Is Tarah Guzarate Hain; Karz Hai Aur Use Utarate Hain; Wasl Pe Shart Baandh Lete Hain; Aur Yeh Shart Roz Haarte Hain; Aaino Mein To Aks Hai Khud Ka; Log Patthar Yeh Kisko Maarte Hain; Kitne Dil Is Mein Gundh Lete Hain; Zulf-e-Khugar Ko Jab Swarate Hain; Ek Baazi Pe Bhool Mat Jana; Pesh-e-Fatah Bhi Log Haarte Hain! |
Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro; Ki Main Zameen Ke Rishton Se Kat Geya Yaaro; We Be-Khayal Musafir Main Raasta Yaaro; Kahan Tha Bas Mein Mere Use Rokna Yaaro; Mere Kalam Pe Zamae Kee Gard Aisi Thi; Ki Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaro; Tamam Shehar Hi Uski Talaash Mein Ghum Tha; Main Uske Ghar Ka Pata Kis Se Puchta Yaaro; Jo Beshumar Dilon Ki Nazar Mein Rehta Hai; Wo Apne Bachhon Ko Ek Ghar Na De Saka Yaaro; Janab-e-Meer Ko Khudrajiyon Mein; Miyan 'Wasim'Ke Kehne Ko Kya Bacha Yaaro! |
Gazab Kiya, Tere Vaade Pe Aitbaar Kiya; Tamaam Raat Qayamat Ka Intezar Kiya; Hansa Hansa Ke Shab-e-Vasl Ashkbaar Kiya; Tasaliya Mujhe De De Ke Beqaraar Kiya; Hum Aise Mahv-e-Nazara Na The Jo Hosh Aata; Magar Tumhare Tagaful Ne Hoshiyar Kiya; Fasana-e-Shab-e-Gham Unko Ek Kahani Thi; Kuch Aitabaar Kiya Aur Kuch Na-Aitabaar Kiya; Ye Kisne Jalwa Hamare Sar-e-Mazaar Kiya; Ki Dil Se Shor Utha, Haaye! Beqaraar Kiya; Tadap Phir Ai Dil-e-Nadan, Ki Gair Kehte Hain; Aakhir Kuch Na Bani, Sabr Ikhtiyaar Kiya; Kuch Aage Daawar-e-Mahshar Se Hai Umeed Mujhe; Kuch Aap Ne Mere Kehne Ka Aitabaar Kiya! |
Chaand Sitaron Se Kya Puchu Kab Din Mere Firte Hain; Wo To Bechare Khud Hain Bikhari, Dere-Dere Firte Hain; Jin Galiyon Mein Hum Ne Sukh Kee Sej Pe Raate Kaati Thi; Un Galiyon Mein Vyakul Hokar Saanjh Savere Firte Hain; Roop-Saroop Kee Jot Jagana Is Nagari Mein Zokhim Hai; Chaaro Khunt Bagule Ban Kar Ghor Andhere Firte Hain; Jin Ke Shaam-Badan Saaye Mein Mera Man Sustaya Tha; Ab Tak Aankhon Ke Aage Wo Bal Ghanere Firte Hain; Koi Humein Bhi Ye Samjha Do Un Par Dil Kyon Reejh Geya; Teekhi Chitwan Baanki Shab Wale Bahutere Firte Hain; Is Nagri Mein Baag Aur Ban Ki Yaaro Leela Nayari Hai; Panchi Apne Sar Pe Uthakar Apne Basere Firte Hain; Log To Daman Si Lete Hai Jaise Ho Jee Lete Hain; 'Abid' Hum Deewane Hain Jo Baal Bikhere Firte Hain! |
Phool Jaise Makhmali Talawo Mein Phool Jaise Makhmali Talawo Mein Chhale Kar Diye; Gore Suraj Ne Hazaro Jism Kaale Kar Diye; Pyaas Kaise Bujhegi Humne Khud Hi Bhool Se; Maikade Kamzarf Logo Ke Hawale Kar Diye; Dekh Kar Tujh Ko Koi Manzar Na Dekha Umar Bhar; Ek Ujaale Ne Meri Aankhon Mein Jaale Kar Diye; Roshni Ke Devta Ko Pujta Tha Kal Talak; Aaj Ghar Kee Khidkiyon Ke Kaanch Kaale Kar Diye; Zindgi Ka Koi Bhi Tohfa Nahi Hai Mere Paas; Khoon Ke Aansu To Ghazlo Ke Hawale Kar Diye! |
Sirf Dhokha Tha Koi Tera Sirf Dhokha Tha Koi Tera Ki Jo Tha Wo Na Tha; Maine Socha Tha Tujhe Jaisa Ki Jo Tha Wo Na Tha; Manzilo Kee Justju Mein Ghar Se Main Nikla Magar; Tha Sabhi Kuch Theek Par Raasta Ki Jo Tha Wo Na Tha; Saath Tha Din Bhar Wo Mere Ik Musafir Kee Tarah; Shaam Jab Aayi To Ye Jana Ki Jo Tha Wo Na Tha; Uske Bheetar Jhankte Hi Mujhko Andaza Hua; Tha Wo Apni Jaat Mein Aisa Ki Jo Tha Wo Na Tha; Tune Nahak Meri Baaton Ka Bura Maana Hai Dost; Gaur Karna Bas Mera Kehna Ki Jo Tha Wo Na Tha! |
Jab Agle Saal Jab Agle Saal Yahi Waqt Aa Raha Hoga; Ye Kaun Jaanta Hai Kaun Kis Jagah Hoga; Tu Mere Saamne Baitha Hai Aur Main Sochta Hun; Ki Aate Lamhon Mein Jeena Bhi Ik Saza Hoga; Yahi Damakte Hue Pal Dhuan Dhuan Honge; Yahi Chamakta Hua Din Bhujha Bhujha Hoga; Isi Jagah Jahaan Aaj Mil Ke Baithe Hain; Isi Jagah Par Khuda Jaane Kal Kya Hoga; Bichhadne Wale Tujhe Dekh Kar Sochta Hun; Tu Phir Milega To Kitna Badal Geyaa Hoga! |
Apni Jannat Mujhe Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz; Kucha-e-Yaar Mein Chal Dekh Le Jannat Meri; Sari Duniya Se Anokhi Hai Zamane Se Judaa; Nemat-e-Khaas Hai Allah Re Kismat Meri; Shikwa-e-Hijr Pe Sar Kaat Ke Farmaate Hain; Phir Karoge Kabhi Is Munh Se Shikayat Meri; Teri Kudrat Ka Nazara Hai Mera Izaz Gunah; Teri Rehmat Ka Ishara Hai Nidamat Meri; Lo Tabassum Bhi Sharik-e-Nigah-e-Naaz Hua; Aaj Kuch Aur Badha Di Gayi Keemat Meri; Faiz Yak Lamha-e-Deedar Salamat 'Fani'; Gham Kee Har Roz Hai Badhti Hui Daulat Meri! |
Dil Mein Ab Yun Tere Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain; Jaise Bichhde Hue Kaabe Mein Sanam Aate Hain; Ek Ek Kar Ke Hue Jaate Hain Taare Roshan; Meri Manzil Kee Taraf Tere Kadam Aate Hain; Raqs-e-Mai Tez Karo Saaz Kee Lai Tez Karo; Su-e-Mai-Khana Safeeran-e-Haram Aate Hain; Kuch Humin Ko Nahi Ehsan Uthane Ka Dimag; Wo To Jab Aate Hain Mail-Ba-Karam Aate Hain; Aur Kuch Der Na Guzre Shab-e-Furqat Se Kaho; Dil Bhi Kam Dukhta Hai Wo Yaad Bhi Kam Aate Hain! |
Sarkati Jaye Hai Rukh Se Sarkati Jaye Hai Rukh Se Naqab Aahista-Aahista; Niklta Aa Raha Hai Aaftab Aahista-Aahista; Jawan Hone lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda; Hayaa Yaklakht Aayi Aur Shabab Aahista-Aahista; Shab-e-Furkat Ka Jaaga Hu Farishto Ab To Sone Do; Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisab Aahista-Aahista; Sawal-e-Wasl Par Unko Adu Ka Khauf Hai Itna; Dabe Hontho Se Dete Hain Jawab Aahista-Aahista; Hamare Aur Tumhare Pyaar Mein Bas Fark Hai Itna; Idhar To Jaldi-Jaldi Hai Udhar Aahista-Aahista; Wo Bedardi Se Sar Kaate 'Ameer' Aur Main Kahun Unse; Huzur Aahista-Aahista Janaab Aahista-Aahista! |