Ab Kya Gila Karen Ki Muqaddar Mein Kuch Na Tha; Hum Ghota-Zan Hue To Samundar Mein Kuch Na Tha! |
Puchna Mat Ki Ye Kya Haal Bana Rakha Hai; Aaina Ban Ke Mera Dil Na Dukhana Mere Dost! |
Wo Kaun Hai Duniya Mein Jo Mazboor Nahi Hai; Insaan Ko Kisi Baat Ka Maqdur Nahi Hai! *Maqdur - Power/Authority |
Na Main Khasta-Haal Hota Na Ye Ajnabi Se Lagte; Ye Haseen Haseen Farishte Mujhe Aadmi Se Lagte! |
Fareb De Ke Bhi Us Ka Kasoor Kam Hi Raha; Ki Hum Ne Us Pe Bharosa Bhi Kuch Zyada Kiya! |
Khat To Bheja Hai Par Ab Khauf Yahi Hai Dil Mein; Maine Kya Us Ko Likha Aur Woh Kya Samjhega! |
Main Apni Maut Se Khalvat Mein Milna Chahta Hun; So Meri Naav Mein Bas Main Hun Nakhuda Nahi Hai! |
Kuch Ajnabi Se Log The Kuch Ajnabi Se Hum; Duniya Mein Ho Na Paye Shanaasa Kisi Se Hum! * Shanaasa - Acquaintance |
Kyon Kisi Se Wafa Kare Koi; Dil Na Maane To Kya Kare Koi! |
Baaki Hai Ab Bhi Tark-e-Tamanna Ki Aarzoo; Kyunkar Kahun Ki Koi Tamanna Nahi Mujhe! |