Kyun Khud Ko Beqarar Kiye Ja Rahe Hain; Kis Bewafa Ko Pyaar Kiye Ja Rahe Hain; Aaya Jo Na Sanam Kabhi, Aur Na Ayega Phir Kabhi; Kyun Uska Intezar Hum Muddat Se Kiye Ja Rahe Hain! |
Pyaar Bahut Hai Tumse Magar Izhaar Nahi Karte; Meri Khamoshi Se Yeh Na Samjhna Ki Tumse Pyaar Nahi Karte; Meri Aankhein To Har Lamha Tumhari Raah Dekhti Hain; Aur Tum Kehti Ho Hum Intezar Nahi Karte! |
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin; Aadat Jo Padh Gayi Thi Tere Intezar Kee! |
Uske Intezar Ke Maare Hain Hum; Bas Uski Yaadon Ke Sahare Hain Hum; Duniya Jeet Kar Kya Karna Hai Ab; Jise Duniya Se Jeeta Tha, Aaj Usi Se Haare Hain Hum! |
Intezar To Bahut Tha Humein Lekin Aaye Na Woh Kabhi; Hum To Bin Bulaye Hi Aa Jaate Agar Hota Unhe Bhi Intezar Kabhi! |
Mat Intezar Karvao Humse Itna Ki Waqt Ke Faislon Pe Tumhe Bhi Afsos Ho Jaye; Kya Pta Tum Baat Karne Aao Aur Tab Tak Humari Rooh Hi Khamosh Ho Jaye! |
Ab In Hudud Mein Laya Hai Intezar Mujhe; Wo Aa Bhi Jayein To Aaye Na Aitabar Mujhe! Translation: Hudud = Limits, Boundries |
Thak Thak Ke Band Hote Hain Chasme Intezar; Aata Hai Sab Ko Khyal Tumhare Khyal Se! |
Dil Mein Umeed Kee Shama Jala Rakhi Hai; Humne Apni Alag Duniya Basa Rakhi Hai; Iss Umeed Ke Saath Ki Aayega Kabhi Paigam Aapka; Humne To Har Pal Darwaze Par Nazrein Tika Rakhi Hain! |
Intezar Rehta Har Shaam Tera; Yaadein Katati Hain Le-Le Kar Naam Tera; Muddat Se Baithe Hain Yeh Aas Paale Dil Mein; Ki Aaj Aayega Koi Lekar Paigaam Tera! |