Roothi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai; Na Chahte Hue Bhi Pyar Hota Hai; Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne; Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai! |
Intezar To Bahut Tha Humein; Lekin Aaye Na Woh Kabhi; Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate; Agar Hota Unhe Bhi Intezar Kabhi! |
Mohabbat Ka Imtihan Aasan Nahi; Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi; Muddatein Beet Jati Hain Kisi Ke Intezar Mein; Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Kaam Nahi! |
Main Intezar Ka Qaayal Na Tha Magar Tum Ne; Lagaa Diya Mujhe Deewaar Se Gharri Ki Tarah! |
Qaasid Ke Aatae Aatae Khat Ik Aur Likh Rakhoon; Main Janta Hun Jo Woh Likhen Ge Jawaab Mein! |
Wafaa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtiyaar Karna Hai; Woh Sach Kahe Na Kahe Aitbaar Karna Hai; Yeh Tujh Ko Jaagte Rehne Ka Shauq Kab Se Hua; Mujhe To Khair Tera Intezaar Karna Hai! |
Un Ke Khat Ki Arzoo Hai, Un Ki Aamad Ka Khayal; Kiss Qadar Phaila Hai Karobaar-e-Intezaar! |
Najane Kab Ka Pahunch Bhi Chuka Sar-e-Manzil; Wo Shakhs Jis Ka Humein Intazar Raah Mein Hai! |
Palkon Pe Ruk Gaya Hai Samundar Khumaar Ka; Kitnaa Ajab Nashaa Hai Tere Intezaar Ka! |
Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye; Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye; Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka; Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye! |