Shikayat Kya Karun Dono Taraf Gham Ka Fasana Hai; Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai; Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaun; Bichhad Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thikana Hai! |
Dil Ke Dard Ko Chupana Kitna Mushkil Hai; Toot Kar Fir Muskurana Kitna Mushkil Hai; Kisi Ke Saath Door Tak Jao Fir Dekh; Akele Laut Ke Aana Kitna Mushkil Hai! |
Koi Vaada Nahi Phir Bhi Tera Intezar Hai; Judai Ke Baad Bhi Humein Tujhse Pyaar Hai; Tere Chehre Kee Udasi Kar Rahi Hai Bayaan Dastaan; Ki Mujhse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hai! |
Jaate Hue Kehte Ho Qayamat Ko Milenge; Kya Khoob Qayamat Ka Hai Goya Koi Din Aur! Translation: Departing, you say, 'We shall meet on Judgement Day', Marvellous! As if the day of judgement is some other day! |
Laazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur; Tanha Gaye Kyon Ab Raho Tanha Koi Din Aur! Translation: Our paths had to cross again some other day, Going alone, now stay alone until some other day. |
Yeh Kaisi Judai Hai Jisne Humein Shayar Bana Diya; Yeh Kaisa Gham Hai Jisne Humein Bebas Bana Diya; Socha Nahi Tha Juda Ho Jaoge Humse Kabhi; Karte Bhi Kya Jab Aap Ne Hi Gair Bana Diya! |
Dil To Hai Jo Sirf Tujh Pe Hi Mare Ja Raha Hai; Teri Yaad Mein Teri Tasbih Kiye Ja Raha Hai; Ab To Yeh Judaai Ka Gham Hum Se Saha Nahi Ja Raha Hai; Aur Ek Tu Hai Jo Door Reh Kar Hume Tadpaye Ja Raha Hai! |
Chand Kee Taraf Dekh Ke Fariyaad Mangte Hain; Hum Zindagi Mein Bas Tera Pyaar Mangte Hain; Bhool Ke Bhi Kabhi Mujhse Door Mat Jana; Hum Kaun Sa Tujhse Teri Jaan Mangte Hai! |
Humne Manga Tha Saath Unka; Woh Judai Ka Gham De Gaye; Hum Unki Yaadon Ke Sahare Hi Jee Lete; Par Woh Bhool Jaane Kee Kasam De Gaye! |
Aapki Yaad Dil Ko Bekarar Karti Hai; Nazar Talash Aapko Bar Bar Karti Hai; Gila Nahi Jo Hum Hain Door Aapse; Hamari To Judai Be Aapse Pyaar Karti Hai! |