Dil Shab-e-Furqat Sukun Ki Justuju Karta Raha; Raat-Bhar Deewar-o-Dar Se Guftugu Karta Raha! |
Rakhe Rakhe Ho Gaye Purane Tamaam Rishte; Kahan Kisi Ajnabi Se Rishta Naya Banayen! |
Aaj Us Ne Hans Ke Yun Puchha Mizaz; Umar Bhar Ke Ranj-o-Gham Yaad Aa Gaye! |
Main Kinare Pe Khada Hun Toh Koi Baat Nahi; Behta Rehta Hai Teri Yaad Ka Dariya Mujh Mein! |
Wo Nahi Bhoolta Jahan Jaun; Haaye Main Kya Karun Kahan Jaun! |
Kuch Khabar Hai Tujhe O Chain Se Sone Wale; Raat Bhar Kaun Teri Yaad Mein Bedaar Raha! |
Tumhara Naam Aaya Aur Hum Takne Lage Raasta; Tumhari Yaad Aayi Aur Khidki Khol Di Humne! |
Duniya Mein Hai Kaam Bahut; Mujhko Itna Yaad Na Aa! |
Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi; Guzarte Waqt Ki Har Mauj Thehar Jayegi! |
Duniy-e-Tasavvur Hum Abaad Nahi Karte; Yaad Aate Ho Tum Khud Hi Hum Yaad Nahi Karte! *Duniy-e-Tasavvur - World of Imagination |