Miscellaneous Shayari

• Main Khud Ko Marte Hue Dekh Kar Bahut Khush Hun;

Yeh Darr Bhi Hai Ki Meri Aankh Khul Na Jaye Kahin!
~ Mohammad Alvi
• Teri Wafa Mein Mili Arzoo-e-Maut Mujhe;

Jo Maut Mil Gayi Hoti To Koi Baat Bhi Thi!
~ Khalilur Rahman Azmi
• Phulon Ko Barsao Tum Bhi,
Taare-Vaare Laao Tum Bhi;
Chalte Chalte Filmon Jaise,
Mujh Mein Aa Takrao Tum Bhi!

Anjali Banga
• Teri Nisbat Mili Mujhe Jab Se,
Main Koi Aarzoo Nahin Karta;
Yaadon Ke Nasheman Ko Jalaya To Nahi Hai,
Hum Ne Tujhe Is Dil Se Bhulaya To Nahi Hai!

Afzal Allahabadi
~ Afzal Allahabadi
• Baare Duniya Mein Raho Gham-Zada Ya Shaad Raho;
Aisa Kuch Kar Ke Chalo Yaa Ki Bahut Yaad Raho!
~ Meer Taqi Meer
• Vahan Se Hai Meri Himmat Ki Ibtida Vallah;
Jo Intiha Hai Tere Sabr Azmane Ki!
~ Josh Malihabadi
• Khansi Aur Hichki Ka Farq Gair Vaazeh Hota Hai;

Awaam Ke Masihaaon Aur Khuda Ke Vakeelon Ko Muakkil Aur Dastaane Nahi Milte!Upload to Facebook
Khansi Aur Hichki Ka Farq Gair Vaazeh Hota Hai;
Awaam Ke Masihaaon Aur Khuda Ke Vakeelon Ko Muakkil Aur Dastaane Nahi Milte!
~ Arsalan Ahmad
• Tum Parindon Se Zyada To Nahi Ho Azaad;

Shaam Hone Ko Hai Ab Ghar Ki Taraf Laut Chalo!
Upload to Facebook
Tum Parindon Se Zyada To Nahi Ho Azaad;
Shaam Hone Ko Hai Ab Ghar Ki Taraf Laut Chalo!
~ Irfan Siddiqi
• Dost Gham Khwari Mein Mere Se Farmavenge Kya;

Zakhm Ke Bharne Talak Nakhun Na Badh Javenge Kya!Upload to Facebook
Dost Gham Khwari Mein Mere Se Farmavenge Kya;
Zakhm Ke Bharne Talak Nakhun Na Badh Javenge Kya!
~ Mirza Ghalib
• Nigah-e-Bad-Guman Hai Aur Main Hun,

Fareb-e-Aashiyan Hai Aur Main Hun;

Shareek-e-Be-Kasi Aaye Kahan Se,

Zameen Par Aasman Hai Aur Main Hun!
Upload to Facebook
Nigah-e-Bad-Guman Hai Aur Main Hun,
Fareb-e-Aashiyan Hai Aur Main Hun;
Shareek-e-Be-Kasi Aaye Kahan Se,
Zameen Par Aasman Hai Aur Main Hun!
~ Yaqoob Usmani
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT