Poochta un sookhe hue patton se us zamane ki dastaan,
jab ek maa apne bacche ki ungli thaame chale jaa rahi thi,
uske nanhe kadmo se kadam milati vo maa,
uski ankhon se aansoo pochti vo maa,
pedon par lage patte the gawah,
vo maa karti thi pyaar be-panah,
aaj vo patte sookh gaye hain,
aaj vo ungli chchoot gayi hai,
ankhon mein aaj bhi hai aansoo,
nahi hai to vo aansoo pochne wali maa.