Dono Ki Samaantayein: 1. Ghadi Chaubees Ghante Tic-Tic Karti Rehti Hai, Aur Patni Chaubees Ghante Kit-Kit Karti Rehti Hai! 2. Ghadi Ki Suiyaan Ghoom Phir Ke Wahi Aa Jaati Hain, Usi Prakaar Patni Ko Aap Kitna Bhi Samjha Lo, Wo Ghoom-Phir Kar Wahin Aa Jayegi Aur Apni Baat Manwayegi. 3. Ghadi Bigad Jaaye Toh Mechanic Ke Yaha Jaati Hai, Aur Agar Patni Bigad Jaaye Toh Maayke Jaati Hai. 4.Ghadi Ko Charge Karne Ke Liye Cell (Battery) Ka Prayog Hota Hai, Aur Patni Ko Charge Karne Ke Liye Salary Ka Prayog Hota Hai! Vishamtaaiyein! - Differences 1. Ghadi Mein Jab 12 Bajte Hain Toh Teeno Suiyaa Ek Dikhaayi Deti Hain, Lekin Patni Ke Jab 12 Bajte Hain Toh Ek Patni Bhi 3-3 Dikhaayi Deti Hain! 2. Ghadi Ke Alarm Bajne Ka Fix Time Hai, Lekin Patni Ke Alarm Bajne Ka Koi Fix Time Nahin Hai! 3. Ghadi Bigad Jaaye Toh Ruk Jaati Hai, Lekin Jab Patni Bigad Jaaye Toh Shuru Ho Jaati Hai! 4. Sabse Bada Antar Yeh Hai Ki Ghadi Ko Aap Jab Chahe Badal Sakte Hain, Magar Patni Ko chah Kar Bhi Badal Nahin Sakte! |