Aapka Swagat Hai. 1. Apna Card Nikalein Aur ATM Mein Insert Karein. 2. Apna Card Bahar Nikalein. 3. Ab Apna Pin Number Type Karein. 4. Avashyak Amount Bharein. 5. Apna Amount Aur Receipt Collect Karein. 6. Atm Ka Use Karne Ke Liye Dhanyavaad. For Ladies: 1. Hey Bhagwaan. 2. Apne Hand Bag Mein Rakha Saara Samaan Side Waale Table Pe Nikaal Ke Rakh Dein Taaki Aap Apna Card Asaani Se Dhoond Sakein. 3. Card Nikaalein Aur Atm Mein Daalein. 4. Ab Card Bahar Nikaalein Aur Dobara Sahi Tareeke Se Insert Karein. 5. Ab Table Par Pade Samaan Mein Se Vo Diary Nikaalein Jismein Aapne Apna Pin Code Likha Hai. 6. Hand Bag Mein Lage Mirror Mein Apna Make-Up Check Karein. 7. Diary Mein Likhe Pin Number Ke Ek-Ek Digit Ke Neeche Ungli Rakhte Hue Araam Se Entry Karein. 8. Bahar Line Mein Khade Gusse Mein Aa Chuke Logon Ko 2 Minute Rukne Ka Ishaara Karein. 9. Apni Passbook Nikaalein Jismein Aapke Last Transaction Ki Raseed Rakhi Hogi, Jis Se Aapke Account Mein Present Balance Pata Chal Sake. 10. Required Amount Ko Carefully Entry Karein. 11. Paise Collect Karein Aur Achchi Tarah Gin Lein. 12. Raseed Collect Karein. 13. Ab Apne Phone Pe Trasaction Ka Message Check Karein. 14. Agar Message Aaya Hai Toh Raseed Se Tally Karein. 15. Agar Message Nahin Aaya Toh Apne Pati, Pita Ya Bhai Ko Yahin Se Phone Karke Batayein. 16. Apna Samaan Vaapas Apne Handbag Mein Daalein Aur Ek Baar Phir Apna Make-Up Check Karein. 17. Aapka Transaction Pura Hua. 18. Atm Use Karne Ke Liye Dhanyavaad. |