Ek Hi Baat Par 7 Alag Shaayaron Kaa Nazariyaa. Mirza Ghalib Sharab Peene De Ai Dost, Masjid Mein Baith Kar, Yaa Wo Jagah Bataa De, Jahan Khudaa Na Ho. Iqbal Masjid Khudaa Kaa Ghar Hai, Koi Peene Ki Jagah Nahi, Kaafir Ke Dil Me Jaa, Wahaan Khudaa Nahi. Faraaz Kaafir Ke Dil Se Aaya Hun Main Dekh Kar, Wahaan Jagah Nahi, Khudaa Maujood Hai Wahan Bhi, Magar Usko Pataa Nahi. Wasi Khudaa Maujood Hai Puri Duniya Mein, Kahin Bhi Jagah Nahi, Tu Jannat Mein Jaa, Wahan Peena Manaa Nahi. Saqi Peete Hai Gham E Duniya Bhulaa Ne Ke Liye, Aur Koi Baat Nahi, Jannat Main Kahaan Gham Hai, Wahaan Peene Ka Mazaa Nahi. Meer Peete Hai Apne Maze Ke Liye, Khaamkhaan Badnaam Gham Hai, Poori Botal Pee Kar Dekho, Phir Duniyaa Kya Jannat Se Kam Hai. Amin Duniya Jannat Ho Nahi Sakti Chahy Jitni Bhi Pee Loo, Jannat Waliyo Ka Innam Ha Koi Tawaiyf Ka Ghar Nahi. |