Ek Gaanv Mein Zila Adhikari Mahoday Nasbandi Ke Mahatv Aur Upyogita Ke Baare Mein Graam Sevakon Ki Ek Sabhaa Mein Bhashan De Rahe The. Bhashan Ke Baad Unhone Kaha Ki Agar Koi Sawal Puchna Chaahe To Puch Sakta Hai. Ek Graam Sevak Khadaa Hua Aur Haath Jod Kar Bola: Sahab... Maaf Kiya Jaaye... Ek Bada Hi Apataa Sawaal Puch Raha Hoon. Par Yeh Mera Sawaal Nahin Hai, Ye Hum Sab Gaanv Walon Ka Sawaal Hai. Zila Adhikari Mahoday Ne Use Savaal Puchne Ki Anumati De Dee. Graam Sevak Ne Kaha: Sarakaar Gaanv Vaale Puchte Hain Ki Kya Zila Adhikari Mahoday Ne Nasbandi Karvai Hai? Zila Adhikari Mahoday Ne Kahaa: Nahin, Maine Nasbandi Nahin Karvai Hai. Graam Sevak Ne Pucha: Sarakaar Gaanv Vaale Puchte Hain Ki Kya Commissioner Mahoday Ne Nasbandi Karvai Hai? Zila Adhikari Mahoday Ne Kahaa: Jahaan Tak Mujhe Jaanakari Hai Commissioner Mahoday Ne Bhi Nasbandi Nahin Karvai Hai. Graam Sevak Ne Pucha: Sarkaar Gaanv Vaale Puchte Hain Ki Kya Mantraalaye Ke Sachiv Mahoday Ne Nasbandi Karvai Hai? Zila Adhikari Mahoday Ne Kaha: Main Tumhaaraa Savaal Samajh Gaya... Dekho Hum Sab Padhe-Likhe Log Hain... Hum Bina Nasbandi Karaae He Parivaar Niyojan Karte Hain. Graam Sevak Ne Kahaa: Huzoor Yahi Toh Gaanv Waale Kehte Hain... Kehte Hain Humein Bhi Padhaao-Likhaao, Samajhdar Banao... Aap Hamaaree Nasbandi Kyon Kar Rahe Ho. |