Ek Baar Ghar Ke Phone Ka Bill Bahut Jyada Aa Jaata Hai. Ghar Ke Sabhi Members Hairaan-Pareshaan Ho Jaate Hain Aur Discuss Karte Hain Ki Aakhir Itna Bill Kaise Aa Sakta Hai... Kaun Hai Jo Sabse Jyada Calls Karta Hai Ghar Ke Phone Se. Father: Ye Toh Hadd Ho Gayi. Itna Jyada Bill... Main Toh Ghar Ka Phone Almost Nahin Ke Barabar Use Karta Hun... Saari Baatein, Apne Main-Main Aur Lambi Calls Office Ke Phone Se Karta Hoon. Mother: Main Bhi Jyadatar Office Ka Phone Use Karti Hoon. Apni Friends Ke Saath Itni Saari Baatein Agar Ghar Ke Phon Se Karungi Toh Kaise Chalegaa. Beta: Dad, Apko Toh Pata He Hai Ki Main Subah Saat Baje Ghar Se Office Ke Lie Nikal Jaata Hoon. Jo Baat Karni Hoti Hai Vo Office Ke Ke Phone Se Karta Hoon. Beti: Meri Company Ne Toh Mere Desk Par He Phone Diya Hua Hai... Main Bhi Apni Sab Calls Us Phone Se He Karti Hoon. Ab Gharwale Ye Sochkar Pareshaan The Ki Jab Ghar Ke Saare Members Office Ka Phone Use Karte Hain Toh Phir Ye Ghar Ke Phone Ka Bill Itna Aaya Kaise? Ghar Ki Naukarani Chupchaap Khadi Sun Rahi Thee. Gharwale Uski Taraf Shak Ki Nazron Se Dekhne Lage Toh.... Naukarani Boli: Toh Kya Memsaab... Aap Sab Bhi To Jahan Par Kaam Karte Ho Vahin Ka Phone Use Karte Ho... Hai Ki Nahin... ? Maine Bhi Vahi Kiya... Toh Ismein Aise Dekhne Ki Zaroorat Kya? |