Guru Dutt is reborn and makes a film, called Software ke Phool. Sahir Ludhianvi saheb revises his old song for the new venture. It goes like this: Yeh Document, Yeh Meetings, Yeh Features ki Duniya, Yeh Insaan Ke Dushman Cursors Ki Duniya, Yeh Deadlines Ke BookHe Management Ki Duniya; Yeh Product Agar Ban Bhi Jaaye Toh Kya Hai? Yahaan Ek Khilona Hai Programmer Ki Hasti, Yeh Basti Hai Murda Bug-fixers Ki Basti, Yahan Par Toh Raises Hai, Inflation Se Bhi Sasti, Yeh Review Agar Ho Bhi Jaaye Toh Kya Hai? Har Ek Keyboard Ghayal, Har Ek Login Pyaasi, Excel Mein Uljhan, Winword Mein Udaasi; Yeh Office Hai Ya Aalame Microsoft, Yeh Release Agar Ho Bhi Jaaye Toh Kya Hai? Jalaa Do Isse, Phoonk Daalo Yeh Monitor, Mere Saamne Se Hataa Daalo Yeh Modem, Tumhaara Hai Tumhi Sambhalo Yeh Computer, Yeh Product Agar Chal Bhi Jaaye Toh Kya Hai? Yeh Product Agar Chal Bhi Jaaye Toh Kya Hai!!! Note: Try actually humming these lyrics in the original tune sung by Mohd. Rafi, it fits so well. |