Abdul Ahad Saaz Shayari

  • Pyaas Bujh Jaye Zameen Sabz Ho Manzar Dhul Jaye;
    Kaam Kya Kya Na In Aankhon Kee Tari Aaye Humein!
    ~ Abdul Ahad Saaz
  • Khud Ko Kyon Jism Ka Zindani Kare;
    Fikar Ko Takht-e-Sulemani Kare;

    Der Tak Baith Ke Soche Khud Ko;
    Aaj Fir Ghar Mein Biyabani Kare;

    Apne Kamre Mein Sajaye Aafaq;
    Jalsa-e-Be-Sar-o-Samani Kare;

    Umar Bhar Sher Kahe Khoon Thuke;
    Muntkhib Rasta-e-Nuksani Kare;

    Khud Ke Liye Mol Le Izhar Ka Karz;
    Dusron Ke Liye Aasani Kare;

    Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhe;
    Harf-e-Na-Gufta Ko La-Sani Kare;

    Kimiyakari Hai Fan Apna 'Saaz';
    Aag Ko Baithe Hue Paani Kare!
    ~ Abdul Ahad Saaz
  • Maine Kab Chaha Ki Main

    Maine Kab Chaha Ki Main Us Kee Tamana Ho Jaoon;
    Ye Bhee Kya Kam Hai Agar Us Ko Gawara Ho Jaoon;

    Mujh Ko Unchai Se Girana Bhee Hai Manzoor, Agar;
    Us Kee Palkon Se Jo Toote, Wo Sitara Ho Jaoon;

    Lekar Ik Azm Uthun Roz Nayi Bheed Ke Sath;
    Phir Wahei Bheed Chhate Aur Main Tanha Ho Jaoon;

    Jab Talak Mahve-Nazar Hun, Main Tamashayi Hun;
    Tuk Nigahein Jo Hata Loon To Tamasha Ho Jaoon;

    Main Wo Bekar Sa Pal Hun, Na Koi Shabd, Na Sur;
    Wo Agar Mujh Ko Rachale To Hamesha Ho Jaoon;

    Aagahi Mera Marz Bhi Hai, Mudawa Bhi Hai 'Saaz';
    Jis Se Marta Hun, Usee Zehar Se Achha Ho Jaoon!
    ~ Abdul Ahad Saaz
  • Khud Ko Kyuun Jism

    Khud Ko Kyuun Jism Kaa Zindaan Karen;
    Fikar To Takht-e-Sulemaani Karen;

    Der Tak Baith Ke Sochn Khud Ko;
    Aaj Phir Ghar Mein Biyaabaani Karen;

    Apne Kamre Mein Sajaayen Aafaaq;
    Jalsa-e-Be-Sar-o-Saamaani Karen;

    Umar Bhar Sher Kahen Khuun Thuuken;
    Muntakhib Raasta-e-Nuqsaani Karen;

    Khud Ke Liye Mol Len Izhaar Ka Qarz;
    Duusron Ke Liye Aasaano Karen;

    Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhen;
    Harf-e-Naa-Guftaa Ko Laa-Saani Karen;

    Kimiyaakaari Hai Fan Apnaa Saaz;
    Aag Ko Baithe Hue Paani Karen!

    Translation:
    Zindaani = Prisoner
    Takht-E-Sulemani = Soloman's Throne
    Muntakhib = Select, Choose
    ~ Abdul Ahad Saaz
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT