Abid Ali Abid Shayari

  • Chaand Sitaron Se Kya Puchu Kab Din Mere Firte Hain;
    Wo To Bechare Khud Hain Bikhari, Dere-Dere Firte Hain;

    Jin Galiyon Mein Hum Ne Sukh Kee Sej Pe Raate Kaati Thi;
    Un Galiyon Mein Vyakul Hokar Saanjh Savere Firte Hain;

    Roop-Saroop Kee Jot Jagana Is Nagari Mein Zokhim Hai;
    Chaaro Khunt Bagule Ban Kar Ghor Andhere Firte Hain;

    Jin Ke Shaam-Badan Saaye Mein Mera Man Sustaya Tha;
    Ab Tak Aankhon Ke Aage Wo Bal Ghanere Firte Hain;

    Koi Humein Bhi Ye Samjha Do Un Par Dil Kyon Reejh Geya;
    Teekhi Chitwan Baanki Shab Wale Bahutere Firte Hain;

    Is Nagri Mein Baag Aur Ban Ki Yaaro Leela Nayari Hai;
    Panchi Apne Sar Pe Uthakar Apne Basere Firte Hain;

    Log To Daman Si Lete Hai Jaise Ho Jee Lete Hain;
    'Abid' Hum Deewane Hain Jo Baal Bikhere Firte Hain!
    ~ Abid Ali Abid
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT