Aaghosh Mein Mehkoge Dikhai Nahi Doge; Tum Nikhat-e-Gulzar Ho Hum Parda-e-Shab Hain! Meaning: Nikhat-e-Gulzar = Fragrance of garden Parda-e-Shab = Veil of night |
Kis Ko Qatil Main Kahun Kis Ko Masiha Samajhun; Sab Yahan Dost Hi Baithe Hain Kise Kya Samajhun; Wo Bhi Kya Din The Ki Har Veham Yaqeen Hota Tha; Ab Haqeeqat Nazar Aaye To Use Kya Samajhun! |
Mujh Se Kafir Ko Mujh Se Kafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya; Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka To Khuda Yaad Aaya; Mere Dil Pe To Hai Ab Tak Tere Gham Ka Saya; Log Kehte Hain Naya Daur Naye Dukh Laya; Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai; Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqabil Paya; Charagar Aaj Sitaron Kee Kasam Kha Ke Bata; Kis Ne Insaan Ko Tabasum Ke Liye Tadpaya; Log Hanste Hain To Iss Soch Mein Kho Jata Hun; Mauj-e-Sailab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya; Uss Ke Andar Koi Fankaar Chupaa Baitha Hai; Jaante Bhujhte Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya! |
Dil Mein Hum Ek Hi Jazbe Ko Dil Mein Hum Ek Hi Jazbe Ko Samoyein Kaise; Ab Tujhe Paa Ke Yeh Uljhan Hai Ke Khoyein Kaise; Zehen Chhalni Jo Kiya Hai, To Yeh Majboori Hai; Jitne Kaante Hain, Woh Talwon Mein Piroyein Kaise; Hum Ne Maana Ki Bahut Dair Hai Hashar Aaney Tak; Chaar Janib Teri Aahat Ho To Soyein Kaise; Kitni Hasrat Thi, Tujhe Pass Bitha Kar Rote; Ab Yeh Mushkil Hai, Tere Samne Royein Kaise! |
Mujh Se Kaafir Ko Mujh Se Kaafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya; Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka Toh Khudaa Yaad Aaya; Mere Dil Pe Toh Hai Ab Tak Tere Gham Ka Saaya; Log Kehte Hain Naya Daur Naye Dukh Laya; Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai; Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqaabil Paya; Charagar Aaj Sitaron Ki Kasam Kha Ke Bata; Kis Ne Insaan Ko Tabasum Ke Liye Tadpaya; Log Hanste Hain Toh Is Soch Mein Kho Jata Hun; Mauj-e-Sailaab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya; Uss Ke Andar Koi Fankaar Chupaa Baitha Hai; Jaantey Boojhtey Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya! |
Main Tujhe Ko Bhool Chuka, Lekin Ek Umar Ke Baad; Tera Kheyal Kya Tha Ke Chott Ubhar Aayi! |
Jo Buraayi Mere Naam Se Mansoob Huyi; Dosto, Kitna Bura Tha Mera Acha Hona! |
Itna Dushwar Nahin Itna Dushwar Nahin Maut Ko Taley Rakhna; Sar Jo Kat Jaye To Dastar Sambhaley Rakhna; Chot Khana, Magar Is Tarah Ke Lodhey Uthey; Zulmat Gham Isi Tarah Se Ujhaley Rakhna; Apne Ehbaab Ko Seene Se Lagaye Phira; Ek Khanjar Bhi Jeb Mein Daley Rakhna; Meri Pehchan Mere Peer-e-Hin Zakhm Se Hai; Ab Bhi Aezaaz Sahi Shaal Do Shaley Rakhna; Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai Nadeem; Kuch Zaroori Toh Nahin Paaon Mein Chaley Rakhna! |
Ik Sehmi Sehmi Si Ik Sehmi Sehmi Si Aahat Hai, Ik Mehka Mehka Saya Hai; Ehsaas Ki Is Tanhai Mein Yeh Raat Gyi Kon Aya Hai; Aye Shaam Alam Kuch Tu Hi Bata, Yeh Dhang Tujhe Kyon Bhaya Hai; Woh Meri Khoj Mein Nikla Tha Aur Tujh Ko Dhoond Ke Aya Hai; Main Phool Samajh Ke Chun Loon Ga Is Bheege Se Angaaron Ko; Ankhon Ki Ibaadat Ka Main Ne Bss Ek Yahi Phal Paya Hai; Kuch Roz Se Barpa Chaar Taraf Hain Shadi-o-Gham Ke Hangamey; Sunte Hain Chaman Ko Maali Ne Phoolon Ka Kafan Pehnaya Hai! |
Waqt Ik Pal Ko Jo Ruk Jaye Toh Ehsaan Is Ka; Chand Yaadein Mere Dil Mein Se Guzrna Chahein! |