Phool Allah Ne Banaye Hain Mehkane Ke Liye, Aur Bulbul Ko Banaya Hai Chehakne Ke Liye, Aish-e-Gham Se Banaya Hai Mere Seene Mein, Dil Ko Angare Kee Manind Dehkane Ke Liye! |
Main Bura Hi Sahi Bhala Na Sahi, Par Teri Kaun See Jafaa Na Sahi; Dard-e-Dil Hum To Un Se Keh Guzare, Gar Unhone Nahi Suna Na Sahi; Shab-e-Gham Mein Bala Se Shugal To Hai, Naala-e-Dil Mera Rasa Na Sahi; Dil Bhi Apna Nahi Raha Na Rahe, Ye Bhi Ai Charkh-e-Fitnaa-Zaa Na Sahi; Dekh To Lenge Wo Agar Aaye, Taaqat-e-Arz-e-Muddaa Na Sahi; Kuch To Aashiq Se Chhed-chhaad Rahi, Kaj-Adaayi Sahi Adaa Na Sahi; Kyon Bura Manate Ho Shikwa Mera, Chalo Be-Jaa Sahi B-Jaa Na Sahi; Uqada-e-Dil Hamara Ya Kismat, Na Khula Tujh Se Ai Saba Na Sahi; Vaaizo Band-e-Khuda To Hai 'Aish', Hum Ne Maana Wo Parasa Na Sahi! |
Aashiqon Ko Ai Falak Devega Tu Aazaar Kya; Dushman-e-Jaan Un Ka Thoda Hai Dil-e-Beemar Kya; Rashk Aave Kyon Na Mujh Ko Dekhana Us Kee Taraf; Takataki Baandhe Hue Hai Rozan-e-Deewar Kya; Aah Ne To Kheema-e-Gardon Ko Phoonka Dekhen Ab; Rang Laate Hain Hamare Deeda-e-Khoon-Baar Kya; Murg-e-Dil Ke Vaaste Ai Hum-Safeero Kam Hai Kyon; Kuch Kaza Ke Teer Se Teer-e-Nigah-e-Yaar Kya; Chal Ke Mai-Khaane Hi Mein Ab Dil Ko Bahlao Zara; 'Aish' Yaa Baithe Hue Karte Ho Tum Begaar Kya! |