Ek Hi Shehar Mein Rehna Hai Magar Milna Nahi; Dekhte Hain Ye Azziyat Bhi Ganwara Kar Ke! * Azziyat - Taklkeef |
Ab To Khud Apni Zaroorat Bhi Nahi Hai Hum Ko, Wo Bhi Din The Ki Kabhi Teri Zaroorat Hum The! |
Yun Hi Si Ek Baat Thi, Us Ka Malal Kya Karein, Meer-e-Kharaab Haal Sa Apna Bhi Haal, Kya Karein; Aisi Fiza Ke Qahar Mein Aisi Hawa Ke Zehar Mein, Zinda Hain Aise Shehar Mein Aur Kamaal Kya Karein; Aur Bahut See Ulajhane Tuk-o-Ras Se Badh Ke Hain, Zikr-e-Zamal Kya Kare, Fikr-e-Visaal Kya Karein; Dhoondh Liye Hain Charagar Humne Diyar-e-Gair Mein, Ghar Mein Hamara Kaun Hai, Ghar Ka Khyal Kya Karein; Chunte Hai Dil Kee Kirachiyan Bikhari Hain Jo Yahan-Vahan, Hona Tha Ek Din Yahi, Ranj-Maal Kya Karein; Uski Nazar Mein Qaid Hain Apni Tamaam Muntakin, Tek-e-Khyaal Kya Karein, Harf Kee Dhaal Kya Karein! |
Tumhein Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil Se Bojh Utaar Do; Main Bahut Dino Se Udaas Hun, Mujhe Koi Shaam Udhaar Do! |
Judaa Bhi Hone Ka Andhesha Judaa Bhi Hone Ka Andhesha Seh Nahi Sakte; Hum Ek Shehar Mein Ab Khush Bhi Reh Nahi Sakte; Yeh Roz-o-Shab Hain Hamare Ki Ek Dusre Se; Chupaye Phirte Hain Ahwaal, Keh Nahi Sakte; Shakist-e-Zaat Ka Izhaar Chahte Bhi Nahin; Ajeeb Haal Hai, Hum Chup Bhi Reh Nahi Sakte; Haqeeqton Kee Chattane Bhi Apni Raah Mein Hain; Khayal-o-Khwab Ke Dariya Mein Beh Nahi Sakte; Woh Be-Kasoor Hai, Aisi Bhi Koi Baat Nahin; Kasoor-waar Hain Hum, Yeh Bhi Keh Nahin Saktey! |
Phool The Rang The Phool The Rang The Lamhon Kee Sabahat Hum The; Aise Zinda The Ki Jeene Kee Alamat Hum The; Sab Khirad-Mand Bane Phirte The Masha-Allah; Bas Tere Shehar Mein Ik Sahib-e-Vehshat Hum The; Naam Bakhsha Hai Tujhe Kis Ke Wufoor-e-Gham Ne; Gar Koi Tha To Tere Mujrim-e-Shohrat Hum The; Ab To Khud Apni Zaroorat Bhi Nahi Hai Hum Ko; Wo Bhi Din The Ki Kabhi Teri Zaroorat Hum The; Dhoop Ke Dasht Mein Kitna Wo Humein Dhundhta Tha; 'Aitabar' Us Ke Liye Abr Kee Soorat Hum The! |
Raste Kaa Intikhaab Raste Kaa Intikhaab Zaroori Sa Ho Geya; Ab Ikhtitaam-e-Baab Zaroori Sa Ho Geya; Hum Chup Rahe To Aur Bhi Ilzam Aayega; Ab Kuch Na Kuch Jawab Zaroori Sa Ho Geya; Hum Taalte Rahe Ki Ye Naubat Na Aane Paye; Phir Hijr Ka Azaab Zaroori Sa Ho Geya; Har Sham Jald Sone Kee Aadat Hi Pad Gayi; Har Raat Ek Khwab Zaroori Sa Ho Geya; Aahon Se Toottaa Nahi Ye Gumbad-e-Siyah; Aab Sang-e-Aaftaab Zaroori Sa Ho Geya; Dena Hai Imtihaan Tumhare Firaq Ka; Ab Sabr Ka Nisab Zaroori Sa Ho Geya! |
Tumhein Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil Se Bojh Utaar Do; Main Bahut Dino Se Udaas Hun, Mujhe Koi Shaam Udhaar do! |
Kal Yeh Likhti Theen Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi; Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do; Main Safaayi Koi Doon Ga Na Wazaahat Dunga; Tum Ko Wapis Main Tumhari Yeh Amaanat Dunga; Phir Kabhi Tumse Na Milne Kee Zamanat Dunga; Bas Tumhein Tark-e-Marasim Pe Yeh Zehmat Dunga; Tum Ho Bechain To Main Bhi Koi Masroor Nahin; Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi; Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do! |
Paikar Tha Wafa Ka Paikar Tha Wafa Ka, Mohabbat Ka Khuda Tha; Woh Shakhs Zamane Mein Sab Se Hi Juda Tha; Chahat Ke Khazane They Har Lafz Mein Us Ke; Daaman Mera Us Ne Duaaon Se Bhara Tha; Mujh Ko Nahin Dekha Karri Dhoop Ne Chu Kar; Baba Mera Duniya Main Mujhe Aisa Jo Mila Tha; Fikrein Na Zamane Ki Kabhi Paas Bhi Aayi; Har Dard Meri Hasti Se Dartaa Hi Raha Tha; Jab Tak Raha Saanson Ka Basera Mere Baba; Tab Tak Main Ghamon Se Bachta Hi Raha Tha; Us Shaam Ki Hiddat Mere Dil Se Nahin Jati; Jis Shaam Tera Saaya Mere Sar Se Utha Tha! |