Akhtar Raza Saleemi Shayari

  • Ab Tak To Khair Teri Tamanna Mein Kat Gayi;<br />
Tu Mil Geya To Sochta Hun Kya Karun Ga Main!Upload to Facebook
    Ab Tak To Khair Teri Tamanna Mein Kat Gayi;
    Tu Mil Geya To Sochta Hun Kya Karun Ga Main!
    ~ Akhtar Raza Saleemi
  • Dil O Nigah Pe Teri

    Dil O Nigah Pe Teri Rahe Fasoon Is Ka;
    Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka;

    Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayad;
    Ki Tera Ho To Geya Hoon Magar Main Hoon Us Ka;

    Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri;
    Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka;

    Zameen Kee Khaak To Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum;
    Hamari Yaad Mein Hai Ab Chiraag Neelgon Us Ka;

    Dil-e-Tabaah Kee Dhadkan Bata Rahi Hai Raza;
    Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pursakoon Us Ka!
    ~ Akhtar Raza Saleemi
  • Dil-o-Nigah Pe

    Dil-o-Nigah Pe Taari Rahe Fasoo'n Is Ka;
    Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka;

    Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed;
    Ke Tera Ho Toh Gaya Hoon Magar Main Hoon Us Ka;

    Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri;
    Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka;

    Zameen Ki Khaak Toh Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum;
    Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neel'gon Us Ka;

    Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza;
    Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pur'sakoon Us Ka!
    ~ Akhtar Raza Saleemi
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT