Kisi Ke Tum Ho Kisi Ka Khuda Hai Duniya Mein; Mere Naseeb Mein Tum Bhi Nahi Khuda Bhi Nahi! |
Ye Dasht Wo Hai Jahan Rasta Nahi Milta; Abhi Se Laut Chalo Ghar Abhi Ujala Hai! *Dasht: Forest |
Muddat Se Lapata Hai Khudaa Jaane Kya Hua, Phirta Tha Ek Shakhs Tumhein Puchta Huaa; Wo Zindgi Thi Aap The Ya Koi Khwab Tha, Jo Kuch Tha Ek Lamhe Ko Bas Samna Hua; Hum Ne Tere Bagair Bhi Jee Kar Dikha Diya, Ab Ye Sawal Kya Hai Ki Phir Dil Ka Kya Hua; So Bhi Wo Tu Na Dekh Saki Ai Hawa-e-Dahar, Seene Mein Ik Charag Rakha Tha Jala Hua; Duniya Ko Zid Numaish-e-Zakhm-e-Jigar Se Thi, Fariyad Maine Kee Na Zamana Khafa Hua; Har Anjuman Mein Dhyaan Usi Anjuman Ka Hai, Jagaa Ho Jaise Khwaab Koi Dekhta Hua; Ye Iztiraab-e-Shauq Hai 'Akhtar' Ki Gum-Rahi, Main Apne Kaafile Se Hun Koson Badha Hua! |