Manzilen Hi Manzilen Hain Har Taraf; Raaste Ki Ek Nishani Bhi Nahi! |
Kinara Doosra Dariya Ka Jaise; Wo Saathi Hai Magar Mahram Nahi Hai; |
Na Koi Gham Khazan Ka Hai Na Hai Khwahish Baharon Ki; Humare Saath Hai Amjad Kisi Ki Yaad Ka Mausam! |
Aainon Mein Aks Na Hon To Hairat Rehti Hai, Jaise Khaali Aankhon Mein Bhi Wehshat Rehti Hai! |
Mujhe Khud Se Hain Shikayatein Mujhe Khud Se Hain Shikayatein, Mujhe Zindagi Se Gila Nahi; Ki Jo Chaha Maine Woh Paa Liya, Nahi Aisa Kuch Jo Mila Nahi; Mere Aas Paas Hai Roshni, Mere Raaston Mein Chirag Hain; Yeh Tere Karam Ka Hai Mojza, Meri Justuju Ka Sila Nahi; Teri Aankh Se Jo Haseen Ho, Woh Nigah Jag Mein Bani Nahi; Tere Rukh Ko Jis Se Misaal Doon, Koi Aisa Phool Khila Nahin; Yeh Jo Teri Zulf Ka Hai Hashiya, Yeh Jo Tera Chehra Khushnuma; Koi Raat Aisi Siyaah Nahi, Kisi Subah Mein Yeh Jilaa Nahin; Yeh Jo Mehr-o-Maa Kee Hain Halatein, Yeh Jo Aainon Kee Hain Hairtein; Hain Azal Se Yeh Isi Tarah, Koi Apni Jaa Se Hila Nahi! |
Dil Ke Dariya Ko Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai; Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai; Uss Tak Aati Hai To Har Cheez Thehar Jati Hai; Jaise Pana Hi Use Asal Mein Mar Jana Hai; Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai; Dil Ko Rukna Hai Ki Taron Mein Thehar Jana Hai; Kaun Ubharte Hue Mehtab Ka Raasta Roke; Uss Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sehar Jana Hai; Main Khila Hun To Isi Khak Mein Milna Hai Mujhe; Wo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai; Wo Tere Husn Ka Jadu Ho Ki Mera Gum-e-Dil; Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai! |
Kya Kya Hamare Khwab The Kya Kya Hamare Khwab The, Jane Kahan Pe Kho Gaye; Tum Bhi Kisi Ke Sath Ho, Hum Bhi Kisi Ke Ho Gaye; Jaane Woh Kyon The, Kaun The Aaye The Kis Liye Yahan; Woh Jo Fashaar-e-Waqt Mein, Bojh Sa Ek Dho Gaye; Uss Ki Nazar Ne Yun Kiya Gard-e-Malal-e-Jaan Ko Saaf; Abar Baras Ke Jis Tarah, Sare Chaman Ko Dho Gaye; Katne Se Aur Badhti Hai Uthe Hue Sarun Ki Fasal; Apne Lahu Se Ahl-e-Dil, Beej Yeh kaise Bo Gaye; Jin Ke Bagair Ik Pal, Jeena Bhi Muhaal Tha; Shaklein Bhi Unn Kee Bujh Gayin, Naam Bhi Unn Ke Kho Gaye; Ankhon Mein Bhar Ke Rut Jaage, Raston Ko De Ke Dooriyan; 'Amjad' Woh Apne Humsafar, Kaise Maze Se So Gaye! |
Mile Kaise Sadiyon Kee Pyaas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna; Barri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahani, Zara Phir Se Kehna! |
Hum Nahin Kehte Hamari Hum Nahin Kehte Hamari, Teri Duniya Ho Jaye; Itne Rangon Mein Koi Rang Toh Apna Ho Jaye; Ishq Woh Turfa-Balaa Hai Ke Kare Jis Ki Talb; Us Ko Maloom Na Ho, Sheher Mein Charcha Ho Jaye; Do Sitaron Ko Jo Dekhoon Teri Ankhein Ban Jayein; Chand Ko Dheyan Mein Laaon Tera Chehra Ho Jaye; Har Dora Hai Yeh Nigehbaan Khari Hai Kismat; Kaise Mumkin Hai Ke Har Shasks Ka Socha, Ho Jaye; Hum Ko Har Bazm Mein, Har Haal Mein Sach Kehna Hai; Sheher Ka Sheher Khafaa Hota Hai, Acha Ho Jaye; Ishq Woh Kaar-e-Musalsal Hai Nahin Jis Ki Akheer; Us Ki Taufiq Hai Jis Shakhs Se Jitna Ho Jaye; Husn Ki Ankh Woh Tahsees Talb Hai Amjad; Bheed Ho Charon Taraf Aur Koi Tanha Ho Jaye! |
Ab Tak Toh Khair Teri Tamanna Mein Katt Gayi; Tu Mil Gaya Toh Sochta Hoon Kya Karon Ga Main! |