Ye Aarzoo Thi Tujhe Gul Ke Rubaru Karte, Hum Aur Bulbul-e-Betaab Guftagu Karte; Payaam Bar Na Mayassar Hua To Khoob Hua, Zubaan-e-Gair Se Kya Shar Kee Aarzoo Karte; Meri Tarah Se Maah-o-Mahar Bhi Hain Aawara, Kisi Habeeb Ko Ye Bhi Hain Justaju Karte; Jo Dekhte Teri Zanjeer-e-Zulf Ka Aalam, Aseer Hone Ke Aazaad Aarzoo Karte; Na Puch Aalam-e-Bargashta Tali-e-"Aatish", Barasati Aag Mein Jo Baaraan Kee Aarzoo Karte! |
Bada Shor Sunte The Pehlu Mein Dil Ka; Jo Cheera To Ek Qatra-e-Khoon Na Nikla! |
Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya; Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya; Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya; Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijab Aaya! |
Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya; Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya; Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya; Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijaab Aaya! |
Doston Ke Iss Qadar Sadme Uthaye Jaan Par; Dil Se Dushman Kee Adawat Ka Gila Jata Raha! Meaning: Adawat = Enmity, Hatred |
Sun To Sahi Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasana Kya; Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya; Zina Saba Kaa Dhundati Hai Apni Musht-e-Khaak; Baam-E-Baland Yaar Ka Hai Astana Kya; Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Rooh Ko; Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya; Betab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem; Mehmaan Saray-e-Jism Ka Hoga Ravana Kya! |
Sun To Sahi Jahaan Mein Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasanaa Kyaa; Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya; Jeena Saba Dhundti Hai Apni Musht-e-Khaak; Baam-e-Buland Yaar Ka Hai Astana Kya; Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Rooh Ko; Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya; Betab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem; Mehman Sara-e-Jism Ka Hoga Ravanaa Kya! |
Sun To Sahi Jahaan Main Sun To Sahii Jahaan Main Hai Teraa Fasanaa Kyaa; Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya; Zina Saba Kaa Dhundati Hai Apni Musht-e-Khaak; Baam-e-Baland Yaar Ka Hai Astana Kya; Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Ruuh Ko; Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya; Betaab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem; Mahmaan Saray-e-Jism Ka Hoga Ravana Kya! |