Azhar Inayati Shayari

  • Har Ek Raat Ko Mehtab Dekhne Ke Liye;</br>
Main Jaagta Hun Tera Khwab Dekhne Ke Liye!Upload to Facebook
    Har Ek Raat Ko Mehtab Dekhne Ke Liye;
    Main Jaagta Hun Tera Khwab Dekhne Ke Liye!
    ~ Azhar Inayati
  • Ye Aur Baat Hai Ki Aandhi Hamare Bas Mein Nahi,<br/>
Magar Chirag Jalana To Ikhtiyar Mein Hai!Upload to Facebook
    Ye Aur Baat Hai Ki Aandhi Hamare Bas Mein Nahi,
    Magar Chirag Jalana To Ikhtiyar Mein Hai!
    ~ Azhar Inayati
  • Kuch Aarazi Ujale Bachaye Hue Hain Log;
    Mutthi Mein Juganuon Ko Chupaye Hue Hain Log;

    Us Shakhs Ko To Qatal Hue Der Ho Gayi;
    Ab Kis Liye Ye Bheed Lagaye Hue Hain Log;

    Barason Purane Dard Na Athkheliyan Karen;
    Ab To Naye Ghamon Ke Sataye Hue Hain Log;

    Aankhein Ujad Chuki Hain Magar Rang Rang Ke;
    Khwabon Kee Ab Bhi Fasal Lagaye Hue Hain Log;

    Kya Reh Geya Hai Shehar Mein Khandaraat Ke Siva;
    Kya Dekhne Ko Ab Yahan Aaye Hue Hain Log;

    Kuch Din Se Be-Dimagi-e-'Azahar' Hai Rang Par;
    Basti Mein Us Ko 'Meer' Banaye Hue Hain Log!
    ~ Azhar Inayati
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT