Bekhud Dehlvi Shayari

• Aaina Dekh Kar Wo Ye Samjhe;

Mil Gaya Husn-e-Be-Misal Humein!Upload to Facebook
Aaina Dekh Kar Wo Ye Samjhe;
Mil Gaya Husn-e-Be-Misal Humein!
~ Bekhud Dehlvi
• Raah Mein Baitha Hoon Tum Sang-e-Rah Samjho Mujhe;

Aadmi Ban Jaaunga Kuch Thokren Khaane Ke Baad!

Sang-e-Rah: A Stone On The Road, MilestoneUpload to Facebook
Raah Mein Baitha Hoon Tum Sang-e-Rah Samjho Mujhe;
Aadmi Ban Jaaunga Kuch Thokren Khaane Ke Baad!

Sang-e-Rah: A Stone On The Road, Milestone
~ Bekhud Dehlvi
• Dum Bhar Mere Pehlu Mein Unhein Chain Kahan Hai;

Baithe Ki Bahaane Se Kisi Kaam Ke Utthe!

Pehlu: Ribs (near)Upload to Facebook
Dum Bhar Mere Pehlu Mein Unhein Chain Kahan Hai;
Baithe Ki Bahaane Se Kisi Kaam Ke Utthe!

Pehlu: Ribs (near)
~ Bekhud Dehlvi
• Humein Peene Se Matlab Hai Jagah Ki Qaid Kya 'Bekhud',

Usi Ka Naam Kaba Rakh Diya, Botal Jahan Rakh Di!Upload to Facebook
Humein Peene Se Matlab Hai Jagah Ki Qaid Kya 'Bekhud',
Usi Ka Naam Kaba Rakh Diya, Botal Jahan Rakh Di!
~ Bekhud Dehlvi
• Yeh Dil Kabhi Na Muhabbat

Ye Dil Kabhi Na Muhabbat Mein Kamayab Hua;
Mujhe Kharab Kiya, Aap Bhi Kharab Hua;

Ajal Men, Zist Mein Turabat Men, Hashr Mein Zalim;
Tere Sitam Ke Liye Main Hi Intakhab Hua;

Nigah-E-Mast Ko Saqi Ke Kon De Ilzam;
Mera Nasib Ki Rusava Mera Shabab Hua;

Hamare Ishq Ke Das-Bis Ne Bhi Dad Na Di;
Kisi Ka Husn Zamane Mein Intakhab Hua;

Fana Ka Dawa Hazaron Ko Tha Zamane Mein;
Habab Ne Mujhe Dekha To Aab-Ab Hua!
~ Bekhud Dehlvi
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT