Shab-e-Visaal Hai Gul Kar Do In Chiraagon Ko; Khushi Ki Bazm Mein Kya Kaam Jalne Walon Ka! |
Uljhe Na Zulf Se Jo Pareshaniyon Mein Hum, Karte Hain Is Pe Naaz Ada-Daniyon Mein Hum; Saragarm-Raqs-Tazaa Hain Kurbaniyon Mein Hum, Shokhi Se Kiski Aaye Hain Jolaniyon Mein Hum; Sabit Hai Jurme-Shikwa Na Zahir Gunahe-Rashq, Hairan Hain Aap Apni Pareshaniyon Mein Hum; Maare Khushi Ke Mar Gaye Subahe-Shabe-Firaaq, Kitne Subuk Hue Hain Garaan-Jaaniyon Mein Hum; Aata Hai Khwaab Mein Bhi Teri Zulf Ka Khyaal, Betaur Ghir Gaye Hain Pareshaniyon Mein Hum; Dekha Idhar Ko Tune Ki Bas Dam Nikal Geya, Utare Nazar Se Apni Nigahabaniyon Mein Hum! |
Umar To Saari Kati Ishq-e-Butaan Mein 'Momin'; Aakhiri Waqt Mein Kya Khak Musalmaan Honge! |
Majlis Mein Mere Zikr Ke Aate Hi Uthe Woh; Badnami-e-Ushshaq Ka Ezaz To Dekho! |
Mehfil Mein Mere Zikar Ke Aate Hi Uthe Woh; Ruswa-e-Mohabbat Ka Ye Ezaz To Dekho! Meaning: Ruswa-e-Mohabbat = Humiliated In Love Ezaz = Miracle |
So Zindagi Nisaar Karun Aisi Maut Par; Yun Roye Zaar Zaar Tu Ahl-e-Azaa Ke Saath! Meaning: Ahl-e-Azaa = Mourners |
Gairon Pe Khul Na Jaye Kahin Raaz Dekhna; Meri Taraf Bhi Ghamza-e-Ghamaz Dekhna! Meaning: Ghamza-e-Ghamaz = Grief of the Consoler |
Kuchh Log Hain Khaamosh; Magar Soch Rahey Hain; Such Bolengey Tab; Such Key Jab Daam Barhengey! |